Aryan Batra   (musafir)
57 Followers · 34 Following

read more
Joined 14 January 2018


read more
Joined 14 January 2018
18 SEP 2018 AT 19:58

Kayanaat Mai kabhi gum to kabhi khushiyaa manai hai,
Par Ajeeb si ye kash-m-kash hai ki,
Ye kayanaat apni hai ya parayee hai??

-


21 JUL 2018 AT 19:15

Tere husn ko dekh wo chaand bhi sharma gaya,
Bohot gumaan tha na use apni chandni par,
Teri aankho se noor tapakta dekh wo chand bhi ghabra gaya.

-


20 JUL 2018 AT 19:01

Aye sarkaar kispar ab kya Naam lagaoge,
Vikaas ke Naam par,
Aurat ke khoon ka kya daam lagaoge.
#GST_on_sanitary_pads.

-


3 JUN 2018 AT 16:07

tere hus-n-Deedar ne humara katl-e-aam kar dia,
ishq ke baazar me mere dil ko neelam kar dia.

-


30 MAY 2018 AT 23:25

meri duniya meri dastan mano ek kahani thi,
jaha sirf dada aur dadi they aur mai unki ek rani thi.
wo duniya jaha khushiya bikhri hui thi,
jaha gam ka saya na tha,
ek din bhi bina muskuraye beete ,
aisa unhe bhaya na tha.
din bhar thak kar ,
duniya se ladh kar ,
mai us ek aanchal ki diwani thi,
ek duniya jaha dada aur dadi they ,
aur mai unki rani thi.
khana khaya tha hotelo mai bohot.
par tere daal chawal ki mai diwani thi,
wo bas ek duniya jaha dada aur dadi they,
aur mai unki rani thi

-


18 MAY 2018 AT 23:27

is kayanaat mai rote rote adhmara sa aya tha,
hosh to tab aya jab maa ne mujhe sene se lagaya tha,
gareebi mai khudke kapde fadkar mere sharir par odaaya tha,
khud bhooki rehkar,
khoon pasina ek kar,
usne mujhe bhar pait khilaya tha,
durga aur kali ke kisse sune they bohot ,
akhir kar maine dono ko tujhme hi paya tha,
kisi aur chiz ki lalsa thi nahi mujhko,
maine pura jag tere pyaar me paya tha.

-


15 MAY 2018 AT 22:48

humne jam ke nashe me akar mehsus kia ki ,
nasha jam me nahi apki aankho me tha

-


8 MAY 2018 AT 21:39


jeevan ke is safar me akela na hota agar tum saath hoti,
veeran na hota mera ye dil agar tum saath hoti,
un pallo ko yaad kar bhar aati hai ankhe meri,
yu mud (मुण) kar na dekhta un pallo ko agar tum saath hoti.

-


1 MAY 2018 AT 20:12

zaada kisi se kareeb hona achchaa nahi ,
is kayanaat mai koi bhi rishta sachcha nahi,
aksar zarurate rishtey tor dia karti hai,
akhir parchaai bhi andhere me saath chor dia karti hai.

-


22 APR 2018 AT 7:46

jeevan ke Barsaat ki hawa hoti hai behan,
jeevan ke har dukh ki dawa hoti hi hai behan.
jeevan ke aangan ki sheetal Dhoop hoti hai behan,
andheri zindagi me maa ka dusra rup hoti hai behan.
khawaabo me dilo me aksar aati ho tum,
zindagi bhar saath nibhati ho tum,
tum paas ho to kya gam hai,
saari mushkile dur hojati hai jab yu muskurati ho tum.

-


Fetching Aryan Batra Quotes