Arun Pundir  
0 Followers · 3 Following

Joined 22 November 2022


Joined 22 November 2022
8 DEC 2024 AT 12:45

Jis din tere mukh ka dedaar hoga uss din eid aur diwali sa suroor hoga,
Logg dewaana kahenge humko par humse jyada hamara intejaar mashoor hoga

-


18 NOV 2024 AT 2:38

Kaha se lau woh lafaz jo sirf tujhe sunai de,
Duniya chaand dekhe aur mujhe sirf tu dikhai de

-


10 AUG 2023 AT 2:44

Tumhara chehra najar aata hai jab baat aati hai junoon ki,
Tumhari muskan hi janam vajah hai mere dil ke sukun ki ❣️❣️

-


10 AUG 2023 AT 2:43

Kuch apna andaz hai kuch mausam rangeen hai,

Tariff karu ya chup rahu zurm dono hi sangeen hai

-


6 AUG 2023 AT 13:13

Nasha mohabbat ka ho ya sharaab ka, hosh dono me kho jate hai,
Farq sirf itna hai sharaab sula deti hai aur mohabbat rula deti hai

-


2 AUG 2023 AT 22:13

Nigaho mein aur koi pyaar ke kabil na rahe,
Is smandar ka aur koi sahil na rahe,
Chand jaisa yaar mila hume zamin par,
Asman ka chand bi ab didar ke kabil na rahe..

-


30 JUL 2023 AT 22:20

Main harr raat todta hun rishta tujhse
mujhe harr subhah teri hasrat ho jati hai
Tu hi bta main tujhe samne bitha karr kaise ladu
Tu hi bta main tujhe samne bitha karr kaise ladu Main jab jab teri ankhon mein dekhta hu
Mujhe tab tab tujhse phir se mohabbat ho jati hai

-


23 DEC 2022 AT 9:34

Chehra dekhkar dil lagaya hi ni kabhi
Haan teri muskurahat par kai baar jaaan lutai hai humne ❣️❣️

-


13 DEC 2022 AT 9:22

Suno tumhe aaj tak tumhe kitne ladko neh kaha hoga ki main sabb jaisa nhi hun
Aaj main the apne baare mein btata hun
Main sabb jaisa hi hun
Main rooz galtiyaan krta hun
Kabhi kabhi rula bhi dunga
Par meri jaan dil jaan laga ke phir tumhe mana bhi lunga
Aur hasane ki tumhe harr rozz koshish krunga
Meri zindagi ka suraj toh tumhari hassi se hi nikalta hai naa toh usse main bujhne kaise dunga ❣️

-


13 DEC 2022 AT 9:20

Jnaab yeah toh apki mohabbat hai jo Chand lafzon ko shayari ka naam de deti hai
Jnaab yeah toh apki mohabbat jo Chand lafzon ko shayari ka naam de deti hai
Varna hum mein itni kabiliyat kaha ki hum gulzaar ko takkar de sake.

-


Fetching Arun Pundir Quotes