Pyar ka matlab kya hota hai??
Are jahan matlab ho wahan pyar he kaha hota hai,,
Dil ke badle main dil dena hota hai pyar,,
Ek ajnabi ko apna banana hota hai pyar,,
Khud se pehle uske bare main sochna hota hai pyar,,
Agar humari koi chij use achhi nahi lagti to hum wo hasi khushi chhod de wo hota hai pyar,,
Agar humari koi napasand chij use achhi lagti hai to use dil se swikarna hota hai pyar,,
Pyar koi jabardasti nahi jo na ho to bhi karwa le,,
Pyar to ek ajib ehsas hai wo bas ho jata hai,,
Humari jindagi ke mayne badal deta hai,,
Chupkese humare dil ko kisika sahara mil jata hai,,
Aur baad main ruthna manana shuru ho jata hai,,
Hum kitne kyun na gussa ho par agar pyar saccha ho to hum gussa bhul ke usi ke he paas jate hai,,
Pyar ka arth hai vishwas,,
Pyar ka arth hai samjhota,,
Pyar ka arth hai samarpan,,
Pyar ka arth hai jivan...- Arti Bade..
10 SEP 2018 AT 8:52