Arpit Jain   (Arpit)
40 Followers · 16 Following

Writer ,Filmmaker ...
Simply says on the way to learning 😊👍
Joined 27 November 2017


Writer ,Filmmaker ...
Simply says on the way to learning 😊👍
Joined 27 November 2017
23 APR AT 18:07

Tum Rooth jaoge to me mana loonga,

Tum badalte mausam ki tarah bikhar jaoge to me samet loonga

Tum Baarish ki tarah baras jaoge to me Dheere se sab sun loonga

Tum agar kabhi tutoge to me pyar se sab kuch jor doonga.

Me Na to me DDLJ ka Raj banoonga aur Na to Jab tak hai jaan ka Samar Anand

Kyonki Me to tumhare liye sirf me hi banoonga ||


-


19 APR AT 21:19

Sab kuch theek kia jaa sakta hai,
Sirf humhare ek pehal ki jaroorat hai !!


-


7 APR AT 17:17



Waqt bhi kamaal hai, jis ghar ke aangan mein anekon Mastiyan, Shaitaniyan ki humne

Aaj hum usi ghar ke mehmaan hai !!

-


2 APR AT 23:18

Kabhi kabhi roshni ki chaka chond ghabrahat paida kar diya karti hai

Kuch der andhere me bhi baith kar dekh lena chaiye...

Kehte hai kabhi kabhi andhera aapko sach bata deta hai !!


-


23 MAR AT 23:58

Hum mental health ki baat to karte hai par ise samajna nai chahte hai !!

Kyonki insaan jab andar se bimar ho to koi dawaa
Kaam nai aati hai !!



-


9 MAR AT 19:46

Waqt ka mijaaj Jab kharab hota hai to Sochne aur Samajne ki taakat aksar tafri karne chali jaati hai

-


6 MAR AT 18:11

Har kisi ke pass apni kahani hoti hai kehne ko
Bas baith kar sunaane ki wajah adhoori si hai

Is adhoori wajah ki kashma-kash se guzar rahe
hai sabhi !!!

-


20 JUL 2023 AT 22:03

Har roz samay se ladta hoo, ki sayad isse jeet Jaaun, lekin !!

samay wo hai jisko saath lekar chalo to aapka aur sath lekar nahi chalo to bhi aapka, pata kaise

Kyonki Accha hai ya bura samay aapka hi hai

Purane ghar ki khidki ke bahar chazza jaise aapko samay ka ayana dikha raha ho, ayna bachpan ki khushiyon ka, sham bhari sukoon ka
Par aaj wo purana ghar bi door ho gaya aur wo chazza bhi jaha sham ki mehfil lagti thi

-


9 JUL 2023 AT 17:38

Bikhri hui meri khwahishon ko kaash tum samhal lete

Apne Dil ke kisi kone me mujhe kaash tum rakh
lete

Agar diya mauka waqt ne to fursat me milne ajana ,

Aur kisi wajah se nai bhi aa pae to dil ko Yai dilasa dekar mana loonga ki kaash tum ek baar mil lete

-


8 JUL 2023 AT 17:28

Kisi ki shakhsiyat maapni ho na to uske dil ki gehraiyon se maapna

Bahari dikhne wali shakhsiyat akasar mom se bani hui hoti hai


-


Fetching Arpit Jain Quotes