Un raaston pe nikalna hai mujhe,
Jakr mere intezar mein baithe us waqt se milna hai mujhe,
Wo rahgir un banjaro sa ban na hai mujhe,
Baithe in chaar deewaron mein kaid sirf ye aangan nahi dekhna,
Waha upar us khule aasman mein panchiyon ke saath udna hai mujhe...
Wo jo un raaston mein hazaron kadamo ki chaap hai,
Un kadamo se kadam mila kar chalna hai mujhe...
Ye zindagi ab insaiyat maang rahi hai mujh se,
Na jaane kya kya kaise samjhau ise...-
मैं काफिर ऐसा जिसके एक ना सपने पूरे हुए,
ना जाने क्यों वो लिख गया है जायदाद मेरे नाम उम्मीदों के।-
Kaha se kaha tak jaoge,
aur kitni kahaniyaan banaoge!
Main sach-jhooth sabka khel janta hun,
Tum batao ye rishta kin lamhon tak nibhaoge?-
मैं हर गम का इलाज साथ लाया हूं,
पुराने छोरो मैं नए ख़्वाब साथ लाया हूं,
चलो आज शाम बैठते है कही,
मैं दो प्याली चाय साथ लाया हूं।-
चलो न रेत में आसमां को ढूंढते है,
चलो न इन बादलों में पुरानी शाम को ढूंढते है,
चलो आज एक बार हम
खुद के नाम को ढूंढते है।।।-
Duaon ka kafila chalta hai mere saath,
In raaston pe main akela nahi hun...-
kabhi aasan si thi zindagi
Aaj banjar si hai aankhein,
Jaane kab ye waqt badla,
Jaane kab badli ye bachpan waali baatein,
Jaane wo bade-bade sapne kab in choti si aankhon se ojhal ho gaye,
Jaane kab ye waqt badla, ye rut badli,
Kab badli ye zindagi...-
Kabhi socha hai,
Kitni baatein kar sakte ho tum in hawaon se...
Kabhi socha hai,
Kya kuch nahi keh sakte ho tum in raaton se...
Kabhi socha hai,
Kitni khamoshi hai samandar mein,
Aur kitna shor hai aandhi mein...
Kabhi socha hai,
Kya aasman ke paar koi rehta bhi hai...-
Socha bhi hai aur socha bhi nahi,
Guzra bhi hai aur guzra bhi nahi,
Ye waqt thehra bhi hai aur thehra bhi nahi...
Hai kuch baatein aisi hi dafn zehen mein,
Hai kuch sawal aise hi ghum jawabon mein,
Hai kuch kahaniya band ab bhi bas kitabon mein...-