เค เคฌ เคนเคฐ เคเคเคธเคพเคจ เคฎเฅเค เคคเฅเคฎเฅเคนเฅเค เคขเฅเคเคขเคพ เคจเคนเฅเค เคเคฐเคคเฅ เคฏเฅ เคจเคฟเคเคพเคนเฅเค,
เคฒเคเคคเคพ เคนเฅ เคเคฟ เคเคจเฅเคนเฅเค เคญเฅ เคคเคจเฅเคนเคพเค เคเฅ เคเคฆเคค เคธเฅ เคฒเค เคเค เคนเฅเฅค-
I write pain.. Wanna ... read more
Jab ruth jaun thoda aur
Milne tum tab aana mujhe,
Jab tumhari parchai se kam
Aur tumse zyaada baatein ho
Milne tum tab aana mujhe
Manzilon ki vo gunj tumhe
Kahin mera rasta jab, batla jaye
Milne tum tab aana mujhe
Aur haan
Ye milna na ho paye agar
To koi gum nahi
Vo daur jo hamara tha
Un yaadon mei buss yaad
bankar aana mujhe....
Milne tum tab aana mujhe
Milne tum tab aana mujhe!-
Teri yaad bhi tujhse zyaada wafadaar nikali
Roz ek baar mujhe dekh jaati hai
-
Vo saath nahi toh kya, uska dard saath hai...
Mera dil tuta toh kya, vo ab bhi uske paas hai....-
Har shaam hi nami hai inn ankhon mei
Lagta hai rukh naya liya hai, inn yaadon ne
-
Mai phone mei uska chehra zoom karke dekhta raha,
Koi toh banane wale ne, galati ki hogi...
Buss wahi dhundhta raha...-
Gaya tha uske dar tak
Puchne, uska haal...
Kambhakt aaj fir,
Aansuon ne na dekhne diya
Kabr pe likha hua, uska naam...-
Iss duniya ki hulchul mei bhi
Khud ko akela paya hai
Mera kuch, mujhme ghum sa gaya hai..
Ye baarish bhi ab toh
Ankhon se ye puchne lagi hai
Nami tujh mei aaj kal, kyu itni badhti jaa rahi hai...
Shayad
Mera kuch, mujhme ghum sa gaya hai....-
Zyaada dard kisme hai...
Meri yaadon ki vo tadap mei
Ya uski aankhon ki khamoshi mei
Zyaada dard kisme hai?
-