Archit Jn   (Aj)
269 Followers · 376 Following

Joined 15 November 2017


Joined 15 November 2017
20 NOV 2022 AT 0:25

Ek kahaani likhne aya hu..
Ek kahaani bankar jaunga..

Agar adhura reh gya karne ko
Use likh kar pura jaunga...

-


2 NOV 2022 AT 18:58

Hum tumhaare baalo me
Ulajhna chahte the...

Tumne baato me
Uljhaaye rakha...

Hum shyd bass
Tumhara pyar chahte the..

Tumne duniyadaari me
Uljhaaye rakha...

-


22 OCT 2022 AT 6:00

Ae dil
Maaf kar dena yar..
Hum aage bade jaa rahe hai
Zindagi me..
Ek tujhko khone ke baad...
Ek murde ki tarah
Bsss zindagi jiye jaa rhe hai
Ek tujhko khone ke baad...

Tu thaa
To bachpan tha
Bachpan se jyada bachpana tha..
Bachpan se nikalkar
Seedha buddhe hogye
Ek tujhko khone ke baad...

Tu thaa
To sapne the
Hazaaro rango se bhari khwaishe thi..
Ab sab kuch bass formality lgta hai
Ek tujhko khone ke baad...

Tu thaa
To aankho me puri duniya ki
Khushiya samet lete the...
Naa ab dard mehsus hota hai
Naa hi khushiya
Hum aankhe churaaye bethe hai
Ek tujhko khone ke baad..



-


25 SEP 2022 AT 22:02

Teri har ek adaa par
Me har dafa bikta rahunga...

Tum bass muskuraati rehna
Me yu hi likhta rahunga...

-


25 SEP 2022 AT 14:30

Haa bhul gya me
Tumhara zikr-e-pyar karna
Ab ke saawan...

Yuhi nhi ye baarishe
Fir se ho rahi hai...

-


27 AUG 2022 AT 15:47

Mujhe usne kuch iss tarah rakha
Apne kareeb...

Jese uski notebook ka aakhiri panna koi...

Beshaq mujhe sabse aakhir me rakha
Usne...
Par apne mann ki saari baatein
Mujhse hi bayaan ki hai...

-


15 AUG 2022 AT 12:48


Gussa karti hai
Ladti hai
Or fir khud hi roti bhi hai...

Ek ladki hai maa
Jo mujhe teri tarah pyar karti hai...

-


9 AUG 2022 AT 10:11

Ab Utarta nhi in khaali panno par
Haal e dil...

Iss dil ki syaahi shayad khatam ho gyi hai..

-


9 AUG 2022 AT 10:07

Kuch to hogi likhi khushiya
Mere hisse ki bhi kahi...

Yu hi nhi mujhe khuda ne
Banaya hoga...

-


1 AUG 2022 AT 2:02

Uski muskuraahat ko chahta hu
Uski udaasi bhi jaanta hu...

Ek jhalli si vo ladki hai
Jisko uske hotho se pehchanta hu...

-


Fetching Archit Jn Quotes