Kisi surat me nhi hume sudharna gawara..
Tu ab shauk se dekhna bigadna hamara..
Teri bahon ki giraft bhi ab dheeli ho rhi hai
Taqaaza kah rha h karlu fir se ishq dubara..
@AR
-
Dwwana Ķar Gaya Jo Mujhe Jogi Baawla Sa..
Uski Nazar Qaatil Hai Aur Rang Sanwla Sa..
@AR-
Behka Du Tujhke Nashe Me Mai Wo Jaam Nahi Hu..
Asani Se Bhoola Do Tum Mujhe Itna Bhi Aam Nahi Hu
Meri Hi Gazle Wa Nazme Bekaar Hogi Shayad Warna
Radha To Tum Ho Pata Nahi Kyo Mai Tumhara Shyam Nahi Hu
@AR-
Mohabbat Khudke Izahr Ko hunar Mangti Hai..
Ye Wo Waba Hai Jo Khoon-e-Jigar Mangti Hai..
Sauda Dil Ka Bhale Tum Karlo Shauk Ke Khatir
Chahat Hadd Se Jo Badh Jaaye To Sir Mangti Hai..
@AR-
गरचे ज़ात-ए-इश्क़ रूह के बंधन से जुड़ा ना होता..
तो राधा और शयाम का मिलन भी अधूरा ना होता..
@AR-
Agar Dard Bechaini Ye Ruswai Hi Hai Anzam Iska..
To Khuda Kasam Hum Na Lenge Kabhi Naam Iska..
Sukoon-e-Dil Pe Mere Gumo Ki Wehshat Na Ho..
Ammi Duaa Karo Tere Bete Ko Mohabbat Na Ho..
Kisi Se Dil Lagana Bhi Koi Aafat Se Kam Nahi..
Shab-e-Hizr Me Kat-ti Raatein Bhi Qayamat Se Kam Nahi..
@AR
-
Bhig jaye Mera Wajood Tere Ishq Ke Rang Se..
Jaise Rishta Hota hai Dor Ka Uske Patang Se..
@AR-
Ye Zindagi Ek Kkawab Si Hai Ek Din To Toot Ke Bikhar Jani Hai..
Azan Se Namaz Tak Ka Safar Hai Aur Isi Ka Naam Zindagani Hai..
@AR
-
Usne Maa Ke Qadmo Me Apna Sir Rakha..
Fir Zamane Ne Use Sadaa Munawwar Rakha..
@AR-