Ho agar apna to khus kyun nahi ho,
Ho agar gair to chup kyun nahi ho..
Ho agar pass to ye akelapan kyun,
Ho agar dur to ye parchhaiyan kyun..
Ho agar sach to chubte kyun nahi,
Ho agar khwaab to milte kyun nahi..
Hai agar pyaar to mein tarash kyun rahi,
Hai agar nafrat mein dhund kisse rahi.-
Insta account : Apurbaa. Barick
अगर ईश्क है ये तो ज़ख्म किस काम के,
अगर महबूब ये है तो दुश्मन किस काम का।।-
कुछ मैं कहूं , कुछ खामोशी तुम समझ लेना,
इश्क में ये नाराजगी कोई गुनाह तो नही।।-
Ek raat lambi ho,
Sath bas tum ho..
Ek ehsaas anokha ho,
Soch bas tum ho..
Ek baat gehri ho,
Zikr bas tum ho..
Ek garm si chae, ek shard si hawa,
Pass bas tum ho, hath bas tumhara ho..
Ek pal tumhara, ek pal mera,
Jude hum dono
Naam "mohabbat" ho........-
Tab ro kar baat jatate the..
Aaj bata kar ro nahi paate..
Tab bhaag ke aate the bolne ke liye..
Aaj bhaag jaate hain taki bolna na pade..
Tab chhupa kar khaya hua amul bhi maa dekh leti thi..
Aaj dhak lete hain har jakhm bas ek jhuti muskaan se..
Ye tab aur aaj mein itna fasla kese...
Aur hum bache maa bap se itna dur kab ho jaate.....
-
Wo ankhe bhi yaad reh jaati hai,
Jab wo Kajal bikhar jaata hai paseene se..
Wo unki halki si jhalak kamar ki,
Jab paresaan wo apne baal sawarnti hai...
Wo payal ,wo aanchal, unke ane se wo aahat,
Kya ye bhi kafi nhi!!
Aur kaun kehta hai har baar chhuna jaruri hota hai mohabbat ke liye....-
De do ijaazat aaj rone ki,
Muskurahat ab chhupane mein kamiyaab nahi...
Kardo azaad aaj un bhari lamho ko,
Sinne mein ab koi jagah bache nahi...
Ikrate kyun ho,
Dubara jeene ke liye,
Ye zindagi hai koi jung ka midan to nahi ..
Theher jao ye sahar pasand hai to,
Raaste to aage le hi chalenge,
Tum yaadein samet to lo sahi .....
De do ijaazat aaj khud ko,
Har baar muskurana jaruri bhi nahi..-
She hate that ventilator,
That oxygen mask made her uncomfortable,
She always had a fear of those syringes,
Mind, heart, sense or soul...
She didn't know whom to feel,
And the hardest was to lay knowingly not knowing anything...
They were scared of that sound of the monitor,
Those talks were out of their mind,
They were not any special among that crowd,
Hope trust pray and truth...
They didn't know whom to believe,
And the hardest was to wait for an never answered question....
.
.
.
.
Yes..
She won the battle....
Now she is free from the all pain..
And they are from her last name....-
इस बार जल्दी बड़ी हो गई,
अगली बार आऊंगी तो थोड़ा और बचपन ले कर आऊंगी।।-