Moke ki Talash maien bhatakta fir raha
Tanha In Andheri raaho maien Akela main...!
Bekadar ye Ujala
Raah Dikhane ko Manjoor Nahi-
Is sabar ki aas lagaye baitha main
Raah taake jaa rha hu...!
Agar is waqt mien wo kisi or ki ho gai
To main yu is sabar ko nahi..
Khud ko kosunga.-
Uchai pe khada mai yuh
Gehraai ko Napne chla,
Khada khud main Akela mai!
Ik dar sa to hai seene mai bhikharne ka.
Magar is Mann ke sheeshe par padi darare!
Ye saaf keh rhi hai ki!
Datt kr dekh le...
Gehraai mai utarne se phle
Ye hawaye hi tuje tod dengi....-
Mai duniya se kat jane walo main..!
Naraaz hoke bhi, Manane walo main.
Hum kyu taake raahein aane walo ki
Hum taake raahein, Ab jane walo ki...-
Din ka ujala na bhaye
Hume to
Roshni mai mile
musafiro ne sataya hai
Adhere se firta rha tha mai door
Aaj usi raat ke Andere ne
Muje khud se milaya hai...-
Jalan ki burai bhi kya kare
Jab usko krne wale bhi hum hi hai..
Hasi to is baat par aati hai
Ki ye jyadatar apno se hi hoti hai.!-
Main chahata tha tere kareeb ana..!
Is josh ko lekar nikala nadan main.
Jismo ko kareeb le aya...!
Pyaas thi muje jism ki
Magar ab pyaar ka rona gaya...
Doshi wo nahi' Pyaas to muje thi.
Mai pyasa jism ke samundar mai' Gotha lga rha bekhabar is baat se
Ki paani khara hai..!
Or wo pyaas' Ab pyaar ki aas lagaye tuje khudse door jate
Dekh rahi hai..!-