Anubhav Agrawal  
6 Followers · 3 Following

read more
Joined 12 August 2019


read more
Joined 12 August 2019
16 AUG 2022 AT 1:14

Iske aage likha nahi hu mai.
Bas yahi mujhko theherna hoga.
Ab kahani ka ye takaaza hai,
Mere kirdaar ko marna hoga..!!

-


31 JAN 2022 AT 4:16

Ye galat baat hai ke log yaha rehte hai,
meri basti me to ab sirf makan rehte hai.
Hum deewano ka pata puchna to puchna yu,
jo kahi ke nahi rehte wo laha rehte hai..!! — % &

-


31 JAN 2022 AT 4:15

Har nazar ko naazar ki talaash hai,
Har chehre pe anokha sa ehsaas hai,
Aapse dosti hum yu hi nahi kar baithe,
Kya kare, humari pasand hi kuch khaas hai..!!
— % &

-


31 JAN 2022 AT 4:14

Mai tod leta agar tum gulab hoti,
Mai jawaab banta agar tum sawaal hoti.
Sabhi jaante hai ki mai nasha nahi karta,
Fir bhi pi leta agar tum sharaab hoti..!!

— % &

-


31 JAN 2022 AT 4:13

Tu Chand mai Sitara hota,
Aasman me ek aashiyana humara hota,
Tujhko dur se dekha karte duniya ke ye log,
Par paas rehne ka haq sirf humara hota..!!— % &

-


30 JAN 2022 AT 15:41

Tu agar udaas hogi,
To udaas honga mai bhi.
Nazar aau ya na aau,
Tere paas honga mai bhi..!!— % &

-


30 JAN 2022 AT 0:55

Sangemarmar ki pyari si murat ho tum,
Tadapte dilo ki zarurat ho tum.

Khuda ne khud apne haatho se tarasha hai tumhe,
Jannat se bhi zyada khoobsurat ho tum..!!— % &

-


21 JAN 2022 AT 7:23

Aasmaan se utar ke pari aa gayi,
Inn nigahon ke samne ye haseen ghadi aa gayi.
Diye to pehle hi jal rahe the mehfil me yaaro,
Ab dilo me aag lagane sundar fuljhadi aa gayi..!!

-


19 JAN 2022 AT 11:03

Tere aate hi ae haseena,
Har mausam gulaabi ho jaye,
Kaatil adaein dekhkar gulshan me kharaabi ho jaye,
Itna nasha hai teri jheel si aakhon mein,
Peene wale to kya botal bhi sharabi ho jaye..!!

-


19 JAN 2022 AT 10:41

Jiske hisse me raat hi aayi hai,
Yakeenan uske hisse me chand bhi aaya hoga..!!

-


Fetching Anubhav Agrawal Quotes