किसी की मुस्कान देख कर
ऐसा सुकून मिल जाए
की फिर जान भी हमारी
जो कोई हुज़ूर मांग जाए
तो गम नहीं, न कोई
शिकवा हो उनसे
हम तो आखरी सांस भी अपनी
उनके नाम कर जाएं
-ट्रिप्स-
Amateur writer
Panda lover 🐼
Zindagi me kai waqiat aenge
jab lgega ki bs yhi pal akhri ho jata
Saansein tham jati
jo bikhra hai wo aur ujad jata
Ye roz roz mar kar jeene ka
silsila hi khatam ho jata
Par khair itni meherban to
zindagi bhi nhi hum par
maut kya khak hume bulaegi
Na Zindagi itni asani se
hamara pichha chhodegi
Na maut itni najeeb
ki hume gale lagakar apnaegi-
Tere daaman par har khushi
har bahaar aa jaye
Teri zindagi bhi tujh si
'Gulzar' ho jaye-
Labon se wo kuch kehte kahan hain
Humne to har baat unki nigahon me padhi hai
Inkaar ho ya ikraar, har jazbaat
Un palkon ke ishaaron me chupi hai
Ghani zulfon ko sulajhane me
Jane kitne zamane guzare humne
wo dekho, anjaan ban kar
Har kisi ko uljhane me lagi hain.
-
Ye chaah thi ek bhul si
Khwahishen fizul si
Ki tu kabhi mujhsa dikhe
Mai bhi kbhi tujhsi lagu
Fir jo kabhi khud se milu
Tujhse milu, Tujhme dikhun
-Trips-
Sehmi si yun hoon,
ki khud se nazre tak na milau
Tujhse khafa to nahi,
par tere kareeb bhi na aau
Bin bole jo tu samajh pae
ye halaat mere
Ishq to tujhse behad kiya,
par waqt rehte jata tak na pau
-
Kya tum pehle bhi itne haseen the,
Ya maut ne aur haseen bana diya?
Kya tumhe khone ka dar tab bhi is qadar tha
Ya kho kar tumhe, ae bedard
Ye dar aur badh gaya?-
Kya sukh mera kya dukh mera
Reh jata na ek pal bhi
Jis pal ki jo likh di tune
Jeevan vyapan ab usme hi
Tujhse tuta, bikhra, bhatka
Tera jag na mujhko bhaya
Mera kuch mujhme na baki
Khud me bhi tujhko hi paya
Bas itna sach hi janu mai
Bas itna hi sach manu mai
Is chhalmay se nivrut ho kar
Ek din fir mil jana tujhme hi
Hai fir mil jana tujhme hi-
Ek nind thi, ek khwab tha
Kuch pal sahi, tu sath tha
Hathon me tera hath tha
Kya khwabeeda ehsaas tha
Lehza tera kuch tha nya
Ye harf pehle na suna
Muskaan tere hothon pe thi
Par Mukhtalif andaaz tha
Iztiraar si jo dil me thi
Kar loon yakeen, ya na abhi
Maujood tha ya gumshuda
Tu tha wahi, aur intezaar tha
Tu tha wahi aur intezaar tha.....
-Trips
-
There's a li'l pain inside
her glittery eyes
and a few
unspoken words
hidden in those
widest smiles
that we often
don't see
or listen to.-