Kuch kehna tha tumse
Sunogi meri zubaan se kya?
Yeh jo itni khoobsurat ho tum
Hoor thi pichle janam mein kya!?-
🖤🖤🖤gσσ∂ тнιηgs ηεε∂ "sαвя"🖤🖤🖤
Suno!!!
Ek baat puchni thi...
Tum aaj, itne khush kyun ho !?
Sirf saal badal raha hai,
Zindagi jeene ka tarika to nahi...-
Kya kahun kuch kaha nahi jata,
Likhne ko likh dun ek kitaab,
Par chah kar bhi kuch likha nahi jata...-
Woh khubsoorat raatein ab nahi aati,
Uske chale jane se,
Kuch yun haal huwa hai hamara,
Jaise saans to aati hai,
Par dhandkane nahi aati...-
Daga baazon ka zamana hai junaid,
Tu kahan jaan-o-dil lutae phirta hai...-
Zindagi-e-mukhtasar mein ek baat janii hai,
Behno ki rukhsati mein taklif bahot hoti hai...-
Log mohabbat mein aksar,
Zehr kha ke jaan de-diyaan karte hain,
Mai puchta hun,
Mohabbat Zehr se huwi thi kya !?-
Usse jina padhta hai,
Har pal har lamha hansna padhta hai,
Yun to har koi isse samjh nahi sakta,
Jo samjh leta hai usse Rona padhta hai,
-