Ye pareshaniya halaat se nh...
Khayalaat se hoti hai...
Halaat to waqt k sath sudhar jaate hai...
-
Kyu har baat batana zaruri ho gaya hai...
Kyu har baar jatana zaruri ho gaya hai...
Kya meri khamoshi ab tumhe sunai nh deti...
Kya meri mohabbat ab tumhe dikhai nh deti...-
Na jane kab zindagi ki shaam ho jae
Na jane kab ye jism tamaam ho jae
Kyu na ye guftugu kr hi li jae
Na jane kab ye ruh bh rakh kr di jae-
Tajurba kehta hai khamoshiya behtar hai.....
Lafzoo se apne ruthte bahut hai...-
Siyasi ho chuke h
kuch dost bh ab...
Ham milte h magar
dil nh milte..-
Koi shaqs kisi k dil-O-jaan pe
ek mukam hasil to kr sakta h...
Magar Ikhtitaam tk
basar nh kr sakta...-
Majburi k tarazu m bik jata h insaan
Apno se hi kai bar jhuk jata h insaan
Sheh milti h kbhi maat khata h insaan
Ghut ghut k apni zindagi bitata h insaan
Siyasi mohra hota h insaan
Sardi m kohra hota h insaan
Apni khwahisho ko mar k
Apno k dilo ko Jaan k
Apne m hi dafan ho jata h insaan
-