Zidd krte waqt sbse chota ban jata hai
Zimmedari uthane ki baat ho toh sbse bada bana firta hai
Baat apni ho toh sb kch sun lega
Jab baat apno par aaye toh sbko hila ke rkh deta
Padd mai chota aur kad mai ucha hai
Zidd ke naam par bchaa aur zimeeedari aur farz ke naam par mujhse bhi Umar mai bada bane firta hai-
Dil ki baat
Dil mai raheti
Toh acha hota
Sab kuch kitta saccha hota
Na kisi ka ruthna ka darr
Na kisi ko manane ki chinta
Hoti toh bs ek khubsurat se
Befikri wali jindagi
Agr dil ki baat
Dil mai raheti
Toh acha hota
Sab kuch kitta sacha hota hai
Sabke beech ek khatta meetha rista hota hai
-
Jab tera khayal aata hai na
Kayi sare sawaal bhi sang lata hai
Jiske jawab dimag ko toh Pata hota hai
Par yeh dil inkaar kr deta hai
Fir teri udasi dekh chup ho jati
Aur aankhein bhi fir zara namm se ho jati hai
Baat humari uss par zara se Kamm ho jati hain
dar lagta hai kahin feelings batate hue hurt na kar dun
Tumhe Khud se apne dur na kar dun
-
Ek teri aankhein, ek teri baatein (×2)
Agar ho jo tere chehre par muskurahatein
Toh de jaati hai dil ko kayi sukoon aur chehre ko kayi khil khilatein
Ki Kahin bayan bhi na kar paun
Teri di hui khusiyon ko
q ki unke milne ke baad toh shabd bachte hai kahan hai , bachti hai toh sirf dher saari muskurahatein iss chehre par-
Jab dil apne baaqt bolna chahe
Aur jubaan par laga ho taala
Jab saara sansaar aap par rok tok lagaye
Aur aap ke apne bhi saath na nibhaye
Toh tab do apne jubaan ka taala
Kar lo dil ki saari baatein aur kar lo saari khwasien puri-
Uljhi se baatein ho
Suljhi se raaton mai
(Aafat bhare din) ×2
Dard bhari shaam
Ho haath mai haath tumhara
Aur ban jaye jevan bhar ka saath humara
Bas ab meri yahi khwaish hai
Ki ho jaun mai teri khawsion ka ek khubsurat sa hissa , ek khubsurat sa kissa
-
Which is unpredictable with certain difficulties and some beautiful and colorful memories
-