Dekh ke hume mayakhane me sarmast, poocha saaki ne humse ek dafa... Janab dekha hai humne apko hote hue madhosh bina jaam ke har martba...
Btaya humne unhe raz is madhoshi ka... Btai humne unhe dastan-e-bawafa...
Kaha humne unse, na hai nasha kisi jaam me aisa jo nasha unki ankhon me hai basa... Or jo musqura de vo agar mehez pal bhar bhi, ho jata hai madhosh mera har lamha...
Kaha saki ne hume, janab hai ye zehat kisi shaqs ki khatarnak behad ... Keh dia humne bhi use... Hona unka zindagi me humari hai behad sukoon bhara .. Or hai unki ye zehat bhi ek afreen zada...
Dekh ke hume mayakhane me sarmast poocha saaki ne ek dafa... Janab dekha hai humne apko hote hue madhosh bina jaam ke har martba...-
Ho gai thi kore kagaz si ye kitab humari zindagi ki us ek bure kisse ke bad...
Ho gae the hum bhi kuch adhure se us ek hikayat ke baad...
Magar ae vo kahani me humari kuch is tarah likhdi unhone un kore kagazon pe ek khoobsoorat dastan apni sohbat ki kalam ke sath...
Or kar dia poora hume unhone apni is khoobsurat yaari or apni sajhedari ke sath-
Nikla h ye chand aj khule asman me aiese, dhoond raha hai ye kisi khas ko jaise,
kar raha hai ye intezar kuch aise karne ko poori kisi ke deedar ki aas jaaise...
Nikla hai ye chand aj khule asmaan me namaish apne noor-e-asmaan ko kuch aise, dhoond raha ho kisi noor-e-jahan ko vo jaise....-
Kar rha hai band aankhe ye Suraj banate hue khoobsurat si ek tasweer is aasman me dekh ke lage jaise, ghoom rahe ho hum kisi gulistan me....
Kar rha hai band ye sooraj ankhen apni or bikher raha hai asmaan me rang kuch is tarah... Banata hai ek sanaa tasweer apne sukoon bhare khwabon ki jis tarah-
Na jaane kya khubsoorati hai in naghmon ki or ime piroe hue alfazon ki.... Chu jate h ye is man kuch is tarah or... Ban jate hai zubaan dil me chupe jazbaton ki or har ek bezubaan khayalon ki...
Na jane hai kya khoobsoorati in bemisaal tarano ki...-
Na jaane dekh kisi ko youn itna sharma sa raha hai... Aaj ye chand kuch laal sa pad raha hai..
Na jne kise dekh ke youn badalon ke peeche chupke, nakhre se dikha rha h...
Aj ye chand apne me hi khil-khila raha hai..
Hua hai deedar shayad use bhi kisi behad khas ka aj tabhi to ankhe chupae kuch is qadar muskura raha hai...
Aj ye chand kuch alag hi khushi dekha rha hai...-
Pohoch chuka hu manzil p apni fir bhi ye safafar huma adhura abhi bhi h... mila hu, milta hu or milunga beshaq kaiyoun se me magar un ek khaas se milne ka intezaar abhi bhi hai...
hathon me lakeerein to kai hai, magar in lakeeron me unka naam likhvane ka khwab abhi bhi hai...
ho chuka hai safar beshaq poora humara, magar is mazil pe unke milne ko muntazir abhi abhi hai... abhi bhi hai-
Hein lutere hum dil ke koi aisa vaisa chor na samajhie... lutere hein hum dil ke koi aisa vesa chor na samajhiye...
Nikaliye zara or kariye humari tafteesh bazar me jake ek dafa... nikaliye zara or kariye humari tafteesh bazar me jake ek dafa...Chalta hai na jane kitne dilon pe youhin zor humara...
To ji bhool ke bhi hume nadaan or kamzor na sajhiye.-
Rok rahe the khudko karne se mohobbat ek dafa fir...
Rok rahe the khudko lagane se dil ye kisi se ek dafa fir...
Mili nazar fir tumse kuch is qadar kho bethe pal bhar me is dil ke har chain or sabar...
Hui guftgu fir tumse kuch is qadar laga mil gai ho is rooh ko sathi vo jiske intezar me thi ye besabar...
Rok rahe the khudko karne se mohobbat ek dafa fir...
Magar jo thama hath tumne humara ho gaya jaise dil ye humara bekhabar or laga mil gai mujhe mohobbat vo meri kia tha intezar jiska mene umar bhar...-
hum kehte the un ashiqon se.. kya milta hai tumhe is qadar kisi ke lie doob ke, kisi pe jan nisar ke or haar roz unke bachkane se nakhre jhel ke...
kehte the vo ashiq hume, ki nahi hai ashiqui tumne sacche dil se janab hogi jis din tumhe ye mohobbat sacchi, lenge us din tumhari kahi har baat ka hum hisab....
fir, mile tum hume ek roz, laga jaise ho gai hai khatam humari ek arse ki ye khoj... Di Khushi tumne is dil ko is qadar, laga ban gai khushnuma meri har dagar, jo dekhi ye muskan tumhari mil gai vajah jispe karden nisar hum ye jaan humari,... mana jante beshaq hein tairna hum magar dekhi hai jabse ye khoobsoorat ankhein tumhari bas hai chahat inme doobke rehni ki humari... or thama hai humne jabse ye hath tumhara hai khwahish ke beet jae bas inhi hathon me ye poora hayaat humara or rakhun sar-ankhon pe har nakhra tumhara...
hum kehte beshaq the un aashiqon se, magar hua hai jo ye ishq hume tumse jeene laga hun me apni zindagi ka har ek pal har ek lamha khul ke... or ho gaya hu behad khushnaseeb or chadh gaya hu satve aasman pe tumse milke...-