You can sing as many praises,
You can write as many phrases.
But your love isn't true,
Until you've overcome those ugly phases.-
Mitti mein mil gaya tha jism,
Par rooh mein ab bhi jaan baaki thi.
Mai uss mitti mein hi paudha bann ke lauta,
Jeene ki chah mujh mein kaafi thi.-
Hai khilaunon se bhara hua ghar mera,
Jinhe bech ke mai chaar paise kamaata hu.
Par mere ghar me pal rahe nanhein kadmon ko,
Mai khud hi khilauna bann ke hasaata hu.-
(Marz = Bimaari/Rog)
Marz-e-mohabbat ke mareez hum apni marzi se hue the,
Bass afsos iss baat ka hai ki hum aashiq kisi farzi ke hue the.-
(Full Poem In Caption.)
Musibaton se haara nahi, ki shayad maine yahi galti,
Aur shayad isiliye mera ye anjaam raha.
Ki meri zindagi beeta di maine chhup ke sab se,
Aur meri maut mein bejaan main sar-e-aam raha.-
Abhi kaam hi kaam hai daftar mein,
Yahan bann raha hai mera naam bhi.
Isliye baat nahi ho rahi kuch dinon se,
Fursat hi nahi milti aaram ki.
Yahi kehke aaj ka din taala maine.
Apne bechain maa baap ko sambhaala maine.
Jin ke paas karne ko baatein hazaar hain,
Unhe kaise batau ki unka beta ab bhi berozgaar hai.-
Jitna aasaan hogaya baat karna,
Utni mushkil se ab baat hoti hai.
Pehle har roz hi mila karte the,
Ab bass ittefaq se mulaaqaat hoti hai.-
Na qabr na khabar pahunchi thi ghar pe,
Tha parivaar andhere me darr ke,
Phir zakhm goliyon ke mile sar pe.
Aur marham bann gaye hum mar ke.-
Sawaal uthaane ko sab taiyyar baithe hain,
Par tum de mat dena jawaab koi.
Neend mein chahe kitne bhi sapne dekhlo,
Haqeeqat mein na dekh lena khwaab koi.-
Hu udaas laut raha aaj ghar ko,
Ab ghar ki har cheez tehes nehes hogi.
Par maa ne aaj mere liye kheer banaayi hai,
To phir bhala aaj kaise behes hogi.-