Ishq karne ki koi umra nahi hoti,
Ishq nibhane ki koi saza nahi hoti
Ishq hota hai jab kisi ko kisi se,
Phir muskurane ki, koi vajah nahi hoti !!
-
Kucch ko Ishq bhi tarah-tarah ka hota hai
Kucch ko Ishq chehra dekhkar hota hai,
Kucch ko sirf baton- baton se hota hai,
Jinko Ishq chehra dekhkar hota hai,
Unke Ishq me jazbaat nahi hota hai,
Jinko Ishq batao baton-se hota hai,
Unke Isha ka dayra aasman se bhi bada hota hai !!-
Shayri likhne ka kucch alag hi suroor aata hai,
Jab samne se koi irshad ya wah wah kar de,
to aur likhkar sunane ka fitoor aata hai !!
-
Ye dil tujhko bar bar yad karta hai,
Dil toot chuka hai phir bhi, ye sirf tumhe yad karta hai !!-
Mujhe likhna pasand hai, use mere likhe har alfaaz pasand hai ,
Mujhe use hasana pasand hai, use meri har baat pasand hai !!-
Dil khol ke alfazon ko bunna chahta hoon,
Dil khol ke khud se roobru hona chahta hoon,
Jo kahaniyan likhkar, dafan hain abhi
Un sari kahaniyon ko sabko sunana chahta hoon.-
Logon ko shayar pasand nahi aate,
Shayar ke jazbaat pasand nahi aate,
Jab toot-ta hai dil kisi se,
Unke likhe alfaaz pasand nahi aate !!-
Main khud ki kahani ko, unhe kabhi suna na saka
Apne jazbaaton ko alfazon se, unhe kabhi bata na saka
Karta tha mohabbat siddat se ye ashiq,
Mohabaat karke bhi unko, dil me apne basa na saka !!-
Ittefaq hi tha, jab tum humse mile the,
Ittefaq hi tha, jab ankhon hi aankhon se vaade kiye the
Ittefaq hi tha, jab zindagi ko ek naya naam diye the
Ittefaq hi tha, jab khud ki saanso ko tere naam kiye the
Ittefaq hi tha, jab hum dono galat-fahmi ka shikar huye the
Ittefaq hi tha, jab hum dono phir se ajnabi huye the!!
Ittefaq hi tha.......-
Mana ki mujhe kabhi ishq nahi hua,
Par ishq karne ka man aaj bhi karta hai,
Apni nazmo se usko bas hasata rahoon
Usko muskurate huye dekhne ka man aaj bhi karta hai !!-