Tip of the day :
Pata hai gusse me ek insaan mein aur nashe me ek insaan mein kya similarity hai?
I'll tell you -
" Dono sach bolte hai " .-
#lifelessons...whatever i face..whatever i learn...i... read more
Aaj photo post nai karoge hashtag daalkar "love you mom" kehekar ?..Aaj special feel nai karaoge mummy ko?
Aaj appreciate nai karoge mummy ko ? Aaj nai bologe mummy ko k laao saara kaam me kar deta/deti hu ya thori help hi kar deta/deti hu ? And a lot more right?!!.......Ohh haa!!! Mother's day to chala gaya ooppss!!!.... ek taraf social media pe mummy k sath photo post ho rahe hai pyar bhare caption k sath lekin dusri taraf mummy saara kaam kar rahi hai akele, unnpar gussa bhi kiya ja raha hai...appreciation to durr ki baat hai unhone khana khaya k nai ye tak koi nai puchta....bura to tabh lagta hai jab log mother's day par social media par posts vagerah karte hai lekin asal me to sacchai kuch aur hi hoti hai ( irony!!) ...Social media par do photo, caption daalkar duniya ko dikhakar kuch nahi hoga sahab...!!
Mummy ko dukhi karke unko rulakar kabhi aage nahi baddh sakta koi aur unhi ka agar ashirwaad aur sath ho to insaan kitna hi kuch kar leta hai ......
-
Dabbe me dabba, dabbe me cake...
Duniya me jyadatarr log hai fake..!!!!-
Aaj aayenge ese bht se ek din k desh k ashique, "desh premi" jo apna desh prem dikhayenge vande mataram!!! Hindustan jindabaad bolkarr!! Bht se vaade ,bht se prann lenge. Galat k virudhh awaz uthayenge. Tirange ko, desh k sainiko ko, desh k veer shahido ko salam karenge . Lekin dosto ye sabh to aaj k liye hoga sirf. Baaki dino ka kya?? Baaki dino ka kya sahab?? Jab hindustaan ki bete betiyo ko insaaf chahiye hota hai. Kaha hote ye ek din k desh premi jab na-insaafi hoti hai. Sach ko daba diya jata hai. Ekta to hai ji humare Hindustan mein lekin kahi na kahi kisi na kisi vajah se yehi ekta k beech koi darar aa jaati hai. Hai na dosto?? Ese ek din ki desh bhakti agar roj dikhai jaaye to Humara Hindustaan sabhko piche chorr dega!!
SAARE JAHA SE ACCHA HINDUSTAAN HUMARA . Swatantrata diwas ki hardik subhkamnaye sabhko🇮🇳.-
The beauty of nature and music becomes more incredible when we explore it.
-
Face the problems like we face the sun...facing the problems will make you shine....!!
-
Aye jindegi kisiko bhi jyada rulaya na kar...kyuki harr kisi ke jindegi mein aansu pochne vaale nai hote.
-
Dusro pe hasne se accha hai.........
Thora khud par haslo..................
Dusro pe sharam karne se accha hai......
Thora khud par sharam karlo...........
Dusro ki kameyaan nikalne se accha hai........
Thori khud ki kameyaan dekhlo...........
Dusro ki charitra par daag lagane se accha hai.......
Thora khud k charitra ko dekhlo..........
To behetar rahega !!!!!
Dusro par ungli uthane se pehele itna jaroor soch lena ki agar ek ungli dusro par uthaoge toh phir baaki ki ungliya khud ba khud tm par hi uthengi...........-