There was a rose garden in which a sunflower got planted
A sunflower that the rose does not wanted
The aromatic roses were sinking
Because the sunflower was stinking
The sunflower got black seeds on the face that looked dirty
Roses were the symbol of love and beauty.
It thought it did not belong and held onto each raindrop Until the weather changed
The petals had irresistible charm and they were looking vibrant in the autumn, unstained.
Under the blazing sun, it stood strong facing toward the sky so high
Even the rose said "you are useful and strong even more than I"-
Those who are afraid to expose a part of themselves can never be a great writer nor they can be a great lover!
-
I lost touch with the reality
I'm becoming sober day by day
Or maybe I'm on the verge of going insane,
I'm barely surviving
I Wanna isolate
Striving to solve the mess I don't even create.
-
Tumhe samjhne ki koshish me mai khud se dur hoti rahi,
apne sapno se samjhota krti rahi
pr kabhi haar nahi mani
kyunki mujhe laga ek na ek din tum mere pyaar ko samjh jaoge
Ye dil dukhta hai mera
jab tum kisi se mohabbat karoge to shayad tum bhi samjh paoge!-
Ab wo ladki muskurati hai bss dikhawe ke liye
akele me udaas raha krti hai
Logo se kam aur khud se jyada baat Kiya krti hai
Ab uski aankhe kuch nahi kehti hai aur wo chup chap is jindagi ke tamashe ko sehti hai
Dil to pehle hi dukhta tha ab to aatma bhi tadapti hai
Aasu bhi khatam ho gaye hai
Pr andar hi andar ruh to machalti hai
Is pijre se nikalne ki koshish to hamesha hi rehti hai!
Uske rone ki aawaze mujhe aaj bhi sunayi deti hai
Wo ladki to pehle hi mar chuki hai pr aaj bhi wo mujhe aaine me dikhayi deti hai!
-
Na jane maine kitni kavitaye likhi na jane kitni kahaniya likhi
Aur Na jane kis kis ke liye likhi
Pr Aaj mai likhna chahti hu ek kavita uss ladki ke liye
Jo mere sabse kareeb thi...
Wo ladki jiski aankho me sitaro si chamak thi
Wo aasman ko gale lagana chahti thi Aur badlo me apna ghar basana chahti thi
Wo khud ko rang birange fulo se saja ke titliyo ki tarah ithlana chahti thi
Wo samundar ki gehraiyo me gotte lagana chahti thi aur pahad ki chooti pr jhanda lehrana chahti thi
Wo mor ki tarah apne pankh faila ke keechad me lot pot ho baarish me nahana chahti thi
Wo Chand ko dhange se bandh usko apna gubara banana chahti thi aur jalti dhoop me khel kr Suraj ko harana chahti thi
Wo pariyo ki tarah pankh laga ke pariyo ke sheher jana chahti thi!
Ab kaha hai wo ladki? Kya ab wo kuch nahi chahti?
Kya usne khud ko phoolo se saja liya ? Kya usne samundar ki lehro me gotta laga liya?
Ya fir usko bhi jindagi ne ghut ghut ke jeena sikha diya?
To be cont...
-
Andheri raat me apna Chand bana lu tumhe
Roz mulakat ho iss khatir apne aasman ka aaftab bana lu tumhe
Kaho to in gulabo se aaj mai saja du tumhe
Itni mohabbat ho gayi hai tumse
Tumhari izzazat ho agar to kya apni shayri ka khwab bana lu tumhe!-
एक बार जेठालाल जलेबी-फाफड़ा छोर दे
पर मैं गोलगप्पे खाना नही छोड़ सकती 😋-