Ankit Singh   (The Stolen Heart Boy)
5.6k Followers · 789 Following

read more
Joined 17 December 2017


read more
Joined 17 December 2017
7 JUN 2022 AT 1:08


Dekhu agr khud ko aaine me toh inn aankhon me bas tu hi dikha hai..

Zindagi me na sahi par inn kagazo me tujhe apna likha hai..

-


31 MAY 2022 AT 0:26

Khusiyan bechkar gum khareedne ka shauk rakhta hu...
Mein aisa hi hu janaab...
Dil todne waalon ko ab bhi Dil ke kareeb rakhta hu...

-


1 MAY 2022 AT 9:52

Zindagi se maut bas kuch pal ki doorie hai...

-


1 MAY 2022 AT 1:15

Zindagi ke safar me Humsafar ho ye jaruri nahi...
Manzil ki chahat , safar ka maza khraab kar deti hai...
Jab Manzil maut hai ,
Akele safar karne ka maza hi phir kuch aur hai...

-


20 FEB 2022 AT 1:15

Tumne kiye the jo waade woh yaadein ho gayin...
Tumhari Yaad me raat se din aur din se raatein ho gayin...
Kiya jo kisi ne kabhi zikr mohabbat ka , unse bas phir tumhari baatein ho gayin...

-


4 FEB 2022 AT 0:41

Raat mein aapke khwab aur din mein aapki yaad dono bohut satate hain...
Hum aapke kaun hain , pata nahi ?
Par dil ki dhadkane aapko humari saans batate hain...

-


4 FEB 2022 AT 0:34

Kya bataun kaise jee raha hun..
Wajah kuch nahi bas bewajah pee raha hu...

-


23 JAN 2022 AT 1:09

Ek raat Taare tootte dekh Chaand maang liya...
Chaand na mila , Dil tootkar tukde huye hazaar...
Har tukda tootkar bhi ek sirf tumhara hi naam liya...

-


15 JAN 2022 AT 0:27

Tumhara hona iss Zindagi mein ,
Wajah kuch toh hai...
Khoya kuch agr toh kya khoya ,
Jab tum ho toh sab kuch toh hai...

-


3 OCT 2021 AT 0:57

Ek Shayaar se uska haal nahi poocha karte , Bas unki likhi Shayari pad lia karte hai..

-


Fetching Ankit Singh Quotes