Ankit Mishra   (Ankeet Mishra....)
17 Followers · 14 Following

Joined 28 July 2019


Joined 28 July 2019
8 FEB AT 20:44

क्यों ज़माने को इतना समझ रहे हो तुम
क्यों अपनी हर बात सबको समझा रहे हो?
क्यों इस तरह रह रहे हो तुम
क्यों अंदर से खोखले हुए जा रहे हो?

जीवन इतनी भी छोटी नहीं है तेरी
क्यों ख़ुद को तुम छोटा माने जा रहे हो?
क्यों सबको समझा रहे हो तुम
कुछ लोग तुम्हें समझें, तुम भी तो बस इतना ही चाह रहे हो...

-


19 DEC 2024 AT 13:48

An Unexpected Friendship with a Beautiful Lesson... — % &Mere zindagi me yu uska aks aaya
Muskaan aayi jab ussa shaks aaya
Chaha tha nahi jise pehli nazar me
Dil ko kabhi aur ussa na koi bhaya

Na jane kaise mera mahatva bataya
Meri khoobiyo ko wo ubhar laya
Na jane kaisi baat thi usme
Ki meri lekhini me aaj h uska saya— % &Jeevan me uska aana vichitra tha
Uska judna bada pavitra tha
Par na jane kya baat thi us ghadi me
Ki mere aane jane se wo anbhigya tha

Uske niyat me nahi koi burai thi
Bato me uski Kai dafa sachai thi
Par na jane kya tha uparwale ke man me
Ki uski judai hame samajh nai aayi thi— % &Jeevan me magar wo yogdaan dekar gaya
Gyaan kayi saare sikha kar gaya
Aur dil ko sabse zaruri baat batlayi usne
Na banana adat kisiko ye batakar gaya
Ye batakar gaya— % &

-


6 NOV 2024 AT 11:19

छठ पूजा की हार्दिक शुभकामनाये🙏


Bade hogaye ho
Apno se rishte nahi nibha paa rahe ho
Jeevan ki kis daud me bhaage jaa rahe ho
Kya hua? Is baar bhi ghar nahi jaa paa rahe ho— % &Poore pariwar ki yaad tumhe aaj aa rahi h
Baaten hoti nahi jinse unki bhi Kami sata Rahi h
Diwali pe bhi ghar nai Jaa paye tum
Apno ke sang chhath manane ke liye chhathi maiya tumhe bula rahi h

Chhath ka ghat tumhe aaj bhi yaad aaraha h
Daura uthane ke liye man lalcha raha h
Ghat ko na sajane pane ka dukh bdhta jaa rha h
Kharna ka prasad na chakh paane se man bhari hota jaa raha h— % &Soch rahe ho sab ki kya zindagi chuni h Maine
Kaha ye zindagi hume liye jaa rahi h
Chinta mat karo mere apno
Chhathi maiya tumhe sahi raah dikha rahi h
Tum kaabil ban jao isliye chhathi maiya tumhe aage le jaa rahi h
Aur haan har saal ki tarah is saal bhi chhathi maiya Hume bula rahi h
Chhathi Maiyya Hume bula rahi h— % &

-


24 OCT 2024 AT 13:52

Raaste ab alag hai, par ek aakhri mulaqat baaki hai...🍁— % &Tujhse milne ko ye dil aaj bhi bekaraar hai
Is dil me tere liye aaj bhi kahi na kahi pyaar hai
Maleen nai hua hai ye zamaane ke taano se
Is dil ko shayad aaj bhi tera intezaar hai

Ummeedein nahi h ab tere aane ki
Ya tere, saath nibhaane ki
Ab toh Ise aarzoo bhi nhi
Tere sang zindagi bitane ki— % &Bas ek dafa ye dekhle tujhe
Wo aakhri baat baaki hai
Saath chal le ek shaam aur
Shayad ab bhi ek mulakaat baaki hai

Zamane se ab bhi thoda darte hue
Teri baahon ka ehsaas aur aitbaar chahta hai
Ye tujhse aaj bhi itminaan se
Karna bas baatein chaar chahta hai— % &Ye na smjhna ki zindagi bhar ki ummeed hai isee
Ye nasamajh bas zindagi bhar ka pyaar chahta hai
Agar na de sako wo bhi tum isee
To ek akhiri mulakaat wo yaadgaar chahta hai
Ek akhiri mulakaat wo yaadgaar chahta hai— % &

-


18 OCT 2024 AT 22:41

Ishq Adhoora reh gya
Bas itni si hi toh baat hai...— % &Main sheher chhod ke ja raha hoon,
Ye sheher ab uske bina paraya sa lagta hai
Kya hua? Itni si toh baat hai...
Main usse door ja raha hoon, wo mujhse door ja rahi hai
Kya hua? Itni si toh baat hai...

Jaane se pehle, kya use apne seene se laga loon?
Kya itna haq mera uspar nahi hai?
Wo bhi kya mujhe apne gale se laga sakegi?
Kya itna haq ab uska bhi mujhpr nahi hai?— % &Kisne tay kiya humare paas ye haq nahi hai?
Aur agar ye haq hai...
Toh kyun yeh zamana itna nirdayi hai?
Kyun zamane ki nazre hm par hi khadi hai?

Manzoor hai, pyaar ki kami toh kabhi nahi hogi...
Par kya ehsaas ki kami sahi hai?
Aur kya zamane ko hume aakhri dafa milne se rokne ka haq hai?
Rokne ka haq, kya ye haq sach mein sahi hai?
Rokne ka haq, kya ye haq ek dusre ko ab nhi hai...— % &

-


13 OCT 2024 AT 22:51

Mai hoon balatkari
Na meri koi zimmedaari
Meri nazar me hawas h karari
Isi hawas ki diwani h ye duniya saari
Mai hoon balatkari
Na meri koi zimmedaari— % &Raah chalte chhoriyo ko log seeti marte
Dekhte hi dekhte wo kapde unke fadte
Ham Zinda lash banke unko niharte
Madad krne ki jagah hey khuda pukarte
Mai hoon balatkari
Na meri koi zimmedaari— % &Wo darinde sabpe gandi nazre daalte
Unke aage peeche fir ye gediya maarte
Sagi behen nahi isliye wo izzat utarte
Unko Aisa krta dekh hm bas niharte
Mai hoon balatkari
Na meri koi zimmedaari— % &Unko ghutne par ye majboor karte h
Unko bikharne ka ye fitoor Tai krte h
In Chand logo se sabhi Mai ke laal darte h
Hum maun rehkar khud ko sapoot kehte h
Mai hoon balatkari
Na meri koi zimmedaari— % &Jab bhi ladki ko h madad ki darkar
Kam se kam ek baar bachane jao yaar
Na aurat ghar ki bhale wo tumhari
Par wo bhi h kisi insaan ki rishtedaar
Kya main sach me hoon balatkari
Kya sach me nahi h meri koi zimmedaari— % &

-


26 SEP 2023 AT 20:59

Dheere dheere chalte chalte 
Log mil hi jaate h,
Haste khelte Masti krte
Apne ban hi jaate h,
Jane anjane apas me 
Man lag hi jaata h,
Raahe inki jab alag hoti h,
To ye man maan nai pata h,
Aur har apno ke ek daur,
Akhir me badal hi jaata h,
Akhir me badal hi jaata h.

-


26 SEP 2023 AT 20:46

लोग केहते हैं तन्हाई में इंसान अकेला होता है,
पर आज समझ आया कि, तन्हाई तो लोगो का मेला होता है,
बस इस भीड़ में हाल ऐसा होता है,
कि दुनिया के मन की बात तो वो समझ लेता है,
पर उसके मन को समझने वाला वो अकेला होता है।

-


26 SEP 2023 AT 20:41

Jeevan ek haseen Manch h
Jiske har kalakaar me alag rang h
Aur insab kalakaro ke anokhe Mel ko
Sahi se nibhana hi jeevan, dhang h

-


26 MAR 2023 AT 15:19

Jeevan ek haseen Manch h
Jiske har kalakaar me alag rang h
Aur insab kalakaro ke anokhe Mel ko
Sahi se nibhana hi jeevan ka dhang h

-


Fetching Ankit Mishra Quotes