Ye Kaagaz nahin
Dil hain sanam.
Ispar Akshar nahin
Dil likhta hoon.
Tabhi to bewafaon
Ki mehfil main main
Tanha dikhta hoon.-
Kuch purane jakhmo to
Kuretkar mene apne
Ishq ki kahani likhi hai .
Kaagaz par khwabon
Ko sajokar yeh kahani
Likhi hai .
-
Kuch kahaniyon ka anjaam
Chahe kuch bhi ho ;
Lekin unki yadein
bemisaal Hoti hain .-
Ab kya kahu meri kahani
Jo itni minnaton ke baad
Bhi adhuri reh gyi
Itni najdikiyon ke baad bhi
Doorie reh gyi-
Mujhse milne aati hai
Ek Apsara khwabon mein ;
Uski surat aise jaise chand
Ho ;
Aankhon me jaise moti
Chamakte ho ;
Kamar ki lachak jaise samandar
Mein toofan uth raha ho .
Mujhse milne aati hai ek
Apsara khwabon mein-
Ki mujhe apno se dar lagta
Hai . Ye bataya na hota to
Accha hota .
Apni kamjoriyon se parda
Na hataya hota toh accha
Hota-
Mujhe puchte hai sab main
Tujhe likhun... ; Main sochta
Hu ab tujhe kase likhun.....
Mere andar ke toofano ko
Pal mein tham leti teri iss
Muskan ke baare me kase
Likhun . Mujhe sasta aur chota
Shamajhti har mehfil par teri
Zubaan se mera naam jaise uchi
Ho meri hesiyat main kase likhun
-
Abki baar ek ajeeb si
khwahish Jagi hai dil
mein ki , koi toot ke chahe
Aur bewafa Main niklu-
Tu ashiqui ki baat karti
Hai ,
Mera bas chale to
Uss hawa ko bhi kaid
Kar lu jo tujhe chukar
Nikalti hai .-