Ek dafa tumne mud kar bhi na dekha ,gar jaate iss dafa roka nahi humne...
Yuhin rokne aur rukne ke intezaar main dono bichad gaye..— % &-
Gussa,jhunjhlahat,narazgi sab chup chap sehta hun...Bhala koi gairo par thodi itna haque jaata hai...
-
Alag hun main...
Na bheed ka hissa hun ,na purana ,guzra,jana pehchna koi kissa hun.Na yaad hun ,na abaad hun, main kuch alag hi tareeke se barbard hun.
Alag hun main..
Na tumsa,na uske jaisa, na aisa, na waisa. Main hun to bas kuch alag apne jaisa.Nasamjah,samjhdar sa. Akela tanha, apnepan ko bekarar sa.
Alag hun..
Na zamane sa hoshiyaar hun,na chalakiyon se bhara koi hathiyaar hun. Na musibat na musibaton ka pahaad hun,main to bas musurakar sab jhel jaane ko tayaar hun..
Alag hun main...
-
Aao milo mujhse ,dekho kabhi kareeb se ,pucho kis haal main hun.
Door se,phone par to bas "thiq hun" hi kahunga.-
Ek seeshe ki botal main kaid hain,na tutti na khulti hai.
Dikhta hai sab aar par,zindagi andar bhi zindagi hi hai bahar. Farak bas sason ka hai kahin khulkar aur kahin ghut kar.
Roz todne ki koshish,roz undne ko bekarar, dekh duniya iss botal ke bahar.Ek seeshe ki botal main kaid hain...-
I am Human too..
I do breathe like you do.I do have feelings and emotions too. I do have a heart that thumps and rips apart.
I am Human too..
I do have care and wants to be cared. I do love and wants to feel loved.I want and wants to feel wanted.I do respect and wants to be respected. I do expect and try to do expected. I maybe useful but don't want to be used.
I am Human too..
I do have dreams,wishes and desires ,which burns inside me as fire. I cry,try and fail too I guess that's we all do cz I am human too...
#Just a reminder,in case you forgot that I AM A HUMAN TOO.. #
-
Miyaad ,muradon ki lambi nahi hoti. Ae khuda shayad tabhi meri koi fariyaad puri nahi hoti..
-
Bakhoobi jaante hain hum ,ki tum ja chuke ho. Phir bhi na jaane kyun tumhara intezaar sa hai..
-
Kuch khaamiyan hai mujhme ,shayad kuch acchaiyan bhi hongi. Dikhne main shaant par isi khamoshi ke peeche chikhti tanhaiyaan bhi hongi..
Humesha galat par kabhi to sahi bhi kuch kiya hi hoga.Kuch paya to bhut kuch khoya bhi hoga.Bikhre tukdo ko jodar bana hai jo ,socho na jaane kite dafa woh tuta bhi hoga..
-