-
Ye kuch batein hai
Jo shyad tumhare smjh mein ni aayengi
Filhal to hakeekat hain
Par tum tk pahunchate pahunchate khwab ban jayengi
Ishq beshumar ab bhi hai tumse
Par ab tum isse kahan smjh paogi
Tumhe to bss meri jhoothi hasi hi dikhti hai
Shyd tum usse dkh kr hi jalti reh jaogi
Mai tumhe yad to hoon na
Bss ek bar sach sach bataogi?
Ye aansuon ki baarisshein
Shayd tum tk bhi pahunch jayengi
Ye kuch batein hai
Jo shyad tumhare smjh mein ni aayengi
Filhal to hakeekat hain
Par tum tk pahunchate pahunchate khwab ban jayengi
Ishq beshumar ab bhi hai tumse-
Baarishon ki boondon mein
Tujhe doondhta hoon bevajah
Tera sajda mai karta hoon
Chahta hoon kuch iss tarah
Bss tu hi yun basi hai
Meri rooh mein har jagah
Ye mera Ishq jo do tarfa tha
Ab reh gya hai ikk tarfa
Ye Kyun hogya hai
Ab tu hi ye bta
Tu bta...
Reh gyi thi kya kami
Sirf tere hi siva
mera koi aur nhi
Ye hawayein bhi tujh tak pahunchti nhi
Jimne teri yadein ghuli hain
Ye raatein bhi mayus si hain
Jinme tu na hai mili-