Haan haq se maine tujhe jana
Tu katra katra hi sahi par ruh ko chhu gaya.
Tu wo sagar bana jiske kinare ki chah nahi , par tujhme dub jana hi ras aaya.
Haan haq se maine tujhe jana
Tu koi sadharan rasta to nahi
Par tujhme chalna hi thana .
Tu koi chah to nahi , par pata nahi kyun tujhe un tut'te huye sitaron se manga.
Haan haq se maine tujhe jana.-
24 DEC 2018 AT 20:23