Anita Srivastav  
3 Followers · 5 Following

Joined 7 October 2019


Joined 7 October 2019
22 OCT 2020 AT 0:22

Hum Chatt par tanha the. Chand bhi tanha tha.
Hum ek dusre ki tanhaiya baant rhe the.

-


15 OCT 2020 AT 16:41

Log kiun apne hi logo k ankh mein
Dhool jhokte hain ye pata nahi hai.
Unki sari harkato ka pata hai usko.
Rishton ko bachane ki khatir hi.
Aise hi chup laga liya hai usne.
Mat karo daga apno se warna .
Dhool wo bhi aap ki aankh mein.
Jhokne ki chamta rahta hai janab

-


9 SEP 2020 AT 0:41

Aaj man ashant hai shanti chahiye
Aaj honth udaas hai hasi chahiye
Mere chehre par jo dard ki rekhaye hain
Woh kisi ko dikhni nahi chahiye

-


8 SEP 2020 AT 18:09


Kabhi uski aur meri manzil ek hua karti thi
Kabhi uske aur mere raaste ek hua karte the
Ab uski manzil kuch aur ho gai hai
Meri manzil to aaj bhi wahi hai
Ab usne apna rasta badal liya hai
Hum aaj bhi us raaste par khade
Uske sath chalne k intzaar mein 🌹

-


11 AUG 2020 AT 14:14


Khud ke liye ek saza chun lee maine
Teri khushiyo ki khatir duriya chun lee maine .
Tum khush raho yehi dua hai meri
Mujhe manjur hai Ye duriya teri. 🌷🌷

-


5 AUG 2020 AT 23:35

Jodiya soch samjh kar banaya kar ye khuda
Har koi har kisi k layak nahi hota.

-


3 AUG 2020 AT 23:49

Kasturi kundal base tum baso mere nayan.
Tum to ja door base mere dil k chyen.
Kabhi the tum dil k pass itne
Abhi ho itne door. Ab na kabhi hum mil sakege.
Kiuki dono hai majboor

-


2 AUG 2020 AT 12:36

. Jeevan mein kisi ka sath nahi to na sahi.
Hathow mein hath nahi to na sahi


Tu akela hi bahut hai apne liye.
Kisi ka intzaar na kar tu apne liye hai to sahi.

-


1 AUG 2020 AT 23:41

Meri na kisi se anban hai na ladaai hai
Bas akele hi rahne ka man hai.

Na ab koi shikwa hai na koi shikayat hai
Jindagi aasan ho gai jine k liye ab yehi baat samjh aai hai.

-


1 AUG 2020 AT 18:10

Hum ne bahut safar tay kar liya jindagi ka
Ab thahar kar aaram karna chahti hu.
Rishton ko nibhate nibhate mein kya hu ye bhool gai.

-


Fetching Anita Srivastav Quotes