Agar unse baat na ho hamari toh din adhura lagta hai,
Bus agar unki ek jhalak dekh le toh dil dooba lagta hai,
bus aise hi kahi unki awaaz sunai de jaaye agar,
toh zindagi jeene mai dil poora lagta hai...-
Yaa toh tum aajao yaa meri maut aajaye,
Yaa toh tum aajao yaa meri maut aajaye,
Meri jaan aise baal khol kar saamne na aaya karo,
Kahi iss aashiq dil ko tum par pyaar na aajaye....-
Agar tu durr hai meri nazro se toh kya farak padta hai,
Tujhe dekhna ho toh aasman ke chaand ko jee bharke dekh leta hoon,
Aur jo agar chand na dikhe aasmaan mai badal ki wajah se,
Toh dil ko samjha leta hoon ki sabar kar rab ke deedar mai thora toh waqt lagta hi hai... ❤❤-
Agar tu durr hai meri nazro se toh kya farak padta hai,
Tujhe dekhna ho toh aasman ke chaand ko jee bharke dekh leta hoon,
Aur jo agar chand na dikhe aasmaan mai badal ki wajah se,
Toh dil ko samjha leta hoon ki sabar kar rab ke deedar mai thora toh waqt lagta hi hai... ❤❤-
Saara din kaam karke baitho jab unse baat karne,
Aur baat na ho phir din aur dil bahut adhura lagta hai,
Ab hum ye bicahara dil lekar unhe ye kaise samjhaye,
Ki unse baat hone ke baad hi humme thora zinda mehsoos hota hai...❤-
Baitha mai kitni door hu tujhse meri jaana,
Yaadein teri mere paas hai har lamha rozaana,
Durr hu tujhse par phir bhi ek aasman ke neeche,
Teri kami se ab toh iss chand ki chandni bhi kam ho rahi jaana ❤-
kuch toh baat hai iss raat ke andhere mai,
kuch toh unkahe alfaaz hai inn sitaaro mai,
ye tim timate sitaare kuch kehna toh chahte hai,
par iss raat chand ki khoobsurti ke aage chup hai...-
Meri harr kahani ka hissa hai tu,
Meri zindagi ka khubsurat kissa hai tu,
Tu anjaan hai teri ehmiyat se ae naadan,
Meri duniya mera khawab meri mohabbat hai tu..-
Kabhi kabhi bahut bura lagta hai,
jab message seen hokar jawab nahi aata hai,
par kya kare yaar hum toh pyaar karte hai,
hume toh zindagi bhar ka intezar manzoor hai....-
Tu chand hai mera tera chupna banta hai,
Tu khuda hai mera tujhse mera dharam banta hai,
Tujhe na jaane ye ehsaas kab hoga meri jaan,
Ki tere aane se meri chaukhat pe mera ghar banta hai....-