So let me introduce to my love. She has got beautiful eyes with lashes which holds dream and fireflies. Pretty she is, oh please! She give irresistible on you meaning, which makes me goes on my knees. Light? I see whole damn constellation in her smile. I wonder how breathtakingly beautiful she would look while walking down the isle. When it comes to her beauty? Its dusk and dawn that bluff.
So here me mumma when i said i am in love, mumma! I think i love a girl because to me intamicy has been in cooking her favourite indian food and sending her in cartoon with a pair of jhumkas and the Scarlett handwritten letter overseas, in saving the rose she gave between the pages of my diaries.
So here me mumma when i say, i love a girl. If i am made of flesh and blood then my bones and guts continue to sing her name in a loop like someone chanting beats, if i am made of cosmos, she is the galaxy in me. If i hold the pen then she is all the feeling in my poetries that the world reads.
So here me mumma, when i say i think i love a girl. You should understand i know i love a girl.-
Mohabbat!!
Bachpan me ye lafz muh par jachta nahi or bade ho kar kisi mazak se kam lagta nahi. Kyu?? Barso pahle aisi kayi sawalo ki gathri banakar maine apne dil ke kisi kone me rakh chhoda tha. Lekin kisse puchhu? Iske jawab, koi is baare me baat karta hi nahi. Sach likhun tou kahte hai ki ye ek dhakosla hai aisi cheezon se nazar chura ke bhag jaya karte hai. Jhoot manu tou ek or fankaar iske haq me naya gana ya film zari kar deta hai. Tazaad itna hai ki dimag kahta hai, mohabbat kya hai wo chhodo, mantaq nahi milti tou wajood hai hi nahi. Dil kahta hai, tou wo kya tha? Jab tmne abhi kuchh din pahle mujhe kisi ajnabi ke hatho saup diya tha or usne mujhe khauf se bhar diya tha. Or aaj tak us ehsaas se tum khud ko alag nahi kar paee. Ab madda ho ya naqid, mohabbat ka zikr tou dono me hi hamesha rahta hai. Par jo cheez hai hi nahi uska zikr bhala kyu itna rahta hai?-
kii mai uske bare me tumhe kya batauu? Wo shakhs hai kisi khawaab jaisi, ek mitti k liye basant ki barish ke sukoon jaisa. Uski ankhein meri shayri jaisi, ek baar jo padh le kabhi bhula na paaye han kuchh aisi. Usko mai kabhi apne shabdo me bata nahi sakta, wo kuchh yu hai ki usko apne shabdo me jata hi ni skta. Par fir v tm zid karo wo kaisi hai? Ki ek nam hai jisko mai apne zehan se kabhi mita nahi skta.
-
Mai tumhari chahat bhi or mohabbat bhi. Mai tumhari zid or ibadat bhi. Tumhari har dua me mai hu, maloom hai mujhe. Magar mujhe tumhari zara bhi qeemat nahi. Tm iltiza karte ho, chillate ho. Meri har berukhi ko nazar andaaz kar dete ho. Agar mai Nazar andaz karu tumhe, tou paani na mile poudhon ki tarah sookh jaate ho. Mera ek sidha sawal hai tmse, tum kyu mujhe itna chahte ho? Mujhe tmse mohabbat nahi, agar thodi bahut ijjat hai v tou usme shiddat nahi. Mujhe pata hai tum "Imroz" ho mere, magar shayad mai tumhari "Amrita" nahi. Mai khush naseeb hu ki tumne mujhe chaha, apni muhabbat se mujhe nawaza. Magar tum jo dhund rahe ho mai wo sahil nahi. Shayad tum mere dil k qabil nahi.
-
Mera maksad hai khoobsurati ke mayne saaf karna. Tumhe kagaz par utarne ki gushtakhi muaaf karna. Tere dakhal se khwabo ko haseen karne laga hu mai. Tujhe dekh k apsarao me yaqeen karne laga hu mai. Tere julf lahraae bas isliye hawa bani hai. Mere liye pagalpan ki dawa bani hai. Tu mujhe gazal deti hai. Tu mera khayal badal deti hai. Mai teri orr ata hu. Tu muh fer kr chal deti hai. Mai har dua me tera naam pukarta hu. Teri tasveer ki bhi nazar utarta hu. Tujhe aina dikha du, tu ek baar tou aae par. Ye gazal agar pasand aae toh baki baatein chai pr.
-
Her Smile
Jab bhi khoobsurati ki baat aati hai, teri muskurahat hi bas mujhe yaad aati hai. Wo muskurahat bhi kitna naaz karti hogi na khud per, tere chehre ko wo har baar haq se chhu ke jaati hai. Auro ko zaroorat padhti hogi , make-up, filter or effects ki, tumhe nahi chaiye kuchh, ye muskurahat hi hai khazana tmhara.
Don't look so gloomy, won't you smile for me? My heart feel so free when you smile sweetly. Your smile brightened things, it gives my word wings. Only your smile brings, the song my heart sings".-
Odhni tere tan se lipta hua, jo tere aksh sa tujhme simta hua. Dusre lok me apni hi soch me, noor chehra se girta mai ginta hua. Jab galo se galo ko teri chhua maano dharti ne ambar ko hai chhuu liya. Jaane kaise ye saansein hai baaki abhi. Fool barse na barso na barse kabhi, eid baki hai eidi hai baki abhi.
-
Wo ghadi aa gai, tu nazar aa gaii. Meri saanson ne jaise sukoon paa liya. Apni taiyari kar, dil me khushhali bhar. Apne hontho so tune naam mera liya. Dheere dheere tu mere kareeb aa gai, jaan jaati hi thi jaan tum aa gai. Ab kaha koi armaan hai baaki abhi. Fool barse na barso na barse kabhi. Eid baki hai eidi hai baki abhi
-
Pat nazar ke khule tere dar ke khule. Tu ishare se mujhko eid mubarak kahe. Ek ajab si hansi tere chehre pe ho, teri ankhein hai lachaar sab kuchh kahe. Tu bhi sab jaanti hai tou chup kyu rahe, tu mujhe chahti hai, ye nazre kahein. Ek tera kahna jaana hai baaki abhi. Fool barse na barso na barse kabhi. Eid baki hai eidi hai baki abhi.
Chaand ye eid ka, teri hi deed ka. Jab mai dekhu tou eid mubarak bane. Sab thama sa rahe dil jama sa rahe. Tujhko dekhu mai mujhko tu takti rahe. Fir wo pichhe se dosto ki awazo ko sun, kar ke batein tu kuchh meri baaton ko sun,kahke bhage ki, Hai imtehaan baaki abhi. Fool barse na barso na barse kabhi. Eid baki hai eidi hai baki abhi-
Raaste jo bhi chamakdaar nazar aate hai, sab uske odhni k taar nazar aate hai. Koi pagal hi mohabbat se nawazega mujhko. Aap tou Khair smajhdar nazar aate hai. Mai kaha jaau? Karu kisse shikayat uski? Har taraf uske tarafdaar nazar aate hai. Jakham bharne lage hai pichhli mohabbat ke, phir Mohabbat ke asaar nazar aate hai. Ek hi baar nazar padhti hai unpar, 'Anas'. Phir wahi lagatar nazar aate hai
-