Woh vanvaas ayodhya se 14 varsho ka jo dwapar me mila tha,
Laute the jab Raghurai toh har Ghar ka aangan deepo se khila tha;
Tyohaar hua diwali ka,
Toh har ghar me mahol tha khushhali ka;
Par dekho aaj lautrhe hai mere Ram 500 varsho ke paschat,
Kinchit na adhuri rehjaye kisi v ghar me mere raam ke swagat me koi prayaas;
Deepotsav ayodhya me nahi visha me manega,
Ram aayenge toh har aangan foolon se sajega;
500 varsho ki kathin tapasya, sangharsh aur balidaan ka ab fal milne jarha hai,
Shri Ram ko unka khoya ghar milne jarha hai;
Kehne ko sab hai mere Ram ke pas aur sabke pas Ram hai,
Jeewan ke udghosh se lekar mrityu ke uprant tak jo liya jaye woh ek naam Ram hai;
Ram hi sangharsh hai,
Ram hi prayaas hai,
Ram hi seva hai,
Ram hi pratikaar hai,
Dharma ki sabse sundar paribhasa Ram hai.-
Zindagi shuru nhi hui ki zindagi bhar ka dard milgya,
Aankhein kholi nahi ki mout ka aalam dikhgya,
Aaj kayi dino baad sukoon ki neend sona chahta tha,
Magar aankhein band hui toh saamne uksa chehra dikhgya...
-
Andar se chaahe jitna toot jao bahar se mat dikhana,
Raaton me rolena magar din me ek bhi aansu na bahana...
Log bas dikhawa krenge aapke sath hone ka, magar koi nahi chahega apke dard ka hissa khudko banana...
-
Dheere dheere lut raha hu mai,
Jo apne the unse bichad raha hu mai... (x2)
Intezaar toh ab, us waqt ka hai jab khone ko kuch nahi bachega aur hasil krne ko saara jahaan hoga... (x2)
Qki uss din nayi kahani likhunga mai, aur usme sabka hisaab hoga😌-
Waqt badalne me waqt nahi lagta;
Waqt badalne me, waqt nahi lagta...
Itna ucha bhi mat urr aee parinde,
Asmaan me urne walon ko zameen pe girne me waqt nahi lagta...
Aur sun,
Itna guroor bhi mat kar apne urne pe,
Maine suna hai bin aashiyane ke parindo ke par katne me waqt nahi lagta...
-
Tujhe paane ki tamanna na jaane kab meri zidd hogyi,
Tujhe... paane ki tamanna, na jaane kab meri zidd hogyi...
Mujh jaisa besabr ab tere intezaar me rehne laga hai,
Tere ishq me na jaane kab meri fitrat tabdeel hogyi...
-