Anand Sinha   (Anand Sinha)
546 Followers · 9 Following

read more
Joined 1 August 2019


read more
Joined 1 August 2019
24 AUG AT 21:08



Resignation of a good resource
should have to be treated as
Loss of Investment in company's Financial

-


19 AUG AT 22:25

Yaad karo galti nahi galtiya hui hongi tumse
Preet ke dhaage me laga judai ka gaanth ek bhool ka nahi hota
Aur saza deni hai to do todne walo ko
Toot jane me kasoor kuch bhi phool ka nahi hota


याद करो गलती नहीं गलतियाँ हुई होंगी तुमसे
प्रीत के धागे में लगा जुदाई का गांठ एक भूल का नहीं होता
और सज़ा देनी है तो दो तोड़ने वालो को
टूट जाने में कसूर कुछ भी फूल का नहीं होता

-


12 AUG AT 20:02

You can't beat the Traffic but
You can beat the Distance

-


25 AUG 2024 AT 22:11

Someone asked a Smoker, "What is sacrifice"
He smiled and replied I left my last sip of cigarette
cause it hurt my lips That is Sacrifice for me

-


27 JUL 2024 AT 14:52

Tere shabdo me sirf vyapar hai
Teri niyat nahi tu aadmi bhi bekar hai
Mujhe batati hai tere ghar ki diware
Tujhe murdo ki tasveero se behad pyar hai

Aaj chadha di haar uski tasveer par
Kabhi jiske parivar ka khayal nahi kiya
Gareeb ki chaukhat se muh ferne wale
Tune kabhi khud se kyu koi sawaal nahi kiya
Dikhawe ki jindgi ghamandi sa kirdaar hai
Mujhe batati hai tere ghar ki diware
Tujhe murdo ki tasveer se behad pyar hai

-


27 JUL 2024 AT 11:48

Yun to koi nahi hai aisa
Jise mai apna bhai keh saku
Babuji ki sampatti ke hissedar jo puchoge to do bataunga

-


25 JUL 2024 AT 10:14

Aisa kuch nahi jo nahi kar pati hai betiya,
Bete to rehte hai bas sath umr bhar
Door rehkar bhi sath nibhati hai betiya
❤️

-


22 JUL 2024 AT 1:19

Mehfil me kabhi be-adbi se kaam nahi liya
Unhe padha magar kabhi unka naam nahi liya

-


17 JUL 2024 AT 11:19

I love reading📖
and my favourite subject is Mohabbat❤️

-


11 JUL 2024 AT 21:31

"TUMNE HI BEHKAYA THA"

Inam mohabbat me maine aisa paya tha
Wafa kar ke bhi mai bewafa kehlaya tha
Wo jane lagi to wajah puchi maine us roj behek jane ki
Kehne lagi Anand tumne hi behkaya tha

Apne seher me wo mere sath beparwah ghuma karti thi
Kabhi hatho ko mere kabhi hotho ko chuma karti thi
Sirf wo ek jism tha jiske sang mai jismani hokar pachtaya tha
Wo aaj bhi kehti hai
Anand tumne hi behkaya tha

-


Fetching Anand Sinha Quotes