Anand Panigrahi   (Anand Panigrahi)
18 Followers · 42 Following

Writer not by profession but by Emotion..
Joined 6 April 2020


Writer not by profession but by Emotion..
Joined 6 April 2020
26 OCT 2022 AT 21:04

Doobte ko tinke ka sahara mil jaye toh kya gham he
Pyaar unka hame dobaara mil jaye toh kya gham he
Naseeb walo ke naseeb hota he yeh pyaar
Kisi din hum bhi naseeb wale ban jaye toh kya gham he.

-


25 JUL 2022 AT 2:08

Dil ke kisi kone me jaane
kitna dard chhupa rakha hai
Kabka chala jata iss duniya se
Bas uski yaadon ne hi ab tak bacha rakha hai.

-


12 JUL 2022 AT 22:26

Jinke vicharo me deshbhakti jhalke
Bharat hi nahi vishwa bhar me jinka naam hai
Antariksh se bhi oonche Sankalp rakhne wale
Hamare vaigyanik Dr.Abdul Kalam hai

-


10 JUL 2022 AT 12:51

Kuch to baat hai unki nazaron mein
Jinhe dekhte hi har aashiq ka dil dhadkta hai
Ek hum hi hai badnaseeb bechare
Jinhe unke sath dekh na jaane kyun unka bhai bhadkta hai.

-


9 JUL 2022 AT 12:55

Parwah nahi hame logo ke dil se chale jane ki
Zamane me aksar yun hi toh hota hai
Inki harkato se waqif hain hum
Fir bhi pyar na jaane inhi se kyun hota hai

-


26 JUN 2022 AT 11:32

Kuch takleefein bayan kar pana bahut mushkil ho jata hai
Ek khatam karo dusra na jaane kaha se aa jata hai
Ek dard ka rishta hi hai meri zindagi me
Sab chhod jate bas yeh hi sath nibhata hai.

-


28 MAY 2022 AT 14:49

Unki adaayein maano dhati hain kehar
Unke ishq me taiyar hai har ashique peene ko zehar
Zara sambhal ke rehna oh haseen-e-dilruba
Yeh jannat nahi balki hai yeh haadson ka shehar.

-


22 MAY 2022 AT 22:19

Unse dil lagane ki tamanna ab bhi hai
Unhe apna banana ki tamanna ab bhi hai
Badnaam ishq ki galiyon me woh bhale hi ho
Unhe pakar badnaam hone ki tamanna ab bhi hai.

-


3 MAY 2022 AT 20:38

Apna samajh ke apnaya unko
Yeh hamara unke liye apnapan tha
Unhone kabhi hamein apna na samjha
Shayad hamare liye unka apnapan kam tha.

-


11 JAN 2022 AT 19:13

Saanse chal rahi he par main zinda nahin
Kyun mai udta hua Aazad parinda nahin
Ab toh tune bhi meri Sunni band kar di hai
Aye khuda kya ab mai tera bashinda nahin.

-


Fetching Anand Panigrahi Quotes