Socha likhu tujhe aaj kucchh alfazon me,
Lafz kam pad gaye muskan bayan karte karte.-
Udta raha zindagi bhar, kuch sukoon k talash me,
Rooh ne bhi choda sath, bas khwahishen bachi lash me.
-
Tere shahar ke pate pe ye khat akhiri hai mera,
Waqt kam hai aur ye salaam akhiri hai mera,
Likha kuchh bhi nahi, bas kuchh khaali alfaz padhoge,
Ummeed hai ki bewaqt hi sahi, kabhi hamein yaad to karoge.-
Suna hai mere mulk me, is eid,
Kapdon se zyada kafan bike hai.-
Mai kyun rehta hu khud se khafa itna?
Mai kyun rehta hu sab se juda itna?
Sawal hai bahut per jawab ek bhi nahi,
Kisi ko pata hai to do mujhe pata apna.-
Bahut rula rahi hai yaaden ek shakhsh ki,
Jis shakhs ko sabhi ne sirf muskurate dekha.-
Likh raha hu ek zamane baad, aaj,
Sun k behisab maut aur cheekhti awaz,
Na dawa, na hawa bakhsh rahi zindagi,
Bas dua karo padh k kuch raka'at namaz.-
Gar gire nahin, to giraye jaoge,
Gar dare nahin, to daraye jaoge,
Khokla kar degi ye nafrati hawain tere zameer ko,
Gar lade nahin, to ladaye jaoge.-
Apni roti chhod, log nikle badshah se shikayat karne,
Raste me pyaado ne, mazloom ko mujrim qarar diya,
Mazloom itne maasoom, k umeed fir bhi rakhi badshah se,
Ilm bhi nahi, k pyaade ki har chaal badshah tay karta hai.-
Mere safar me tera shaher akhri to nahi,
Na jane kitna hai aur chalna, tu humsafar akhri to nahi.-