Dil may koi malaal nhi, fir bhi ek malaal hai.
Tu abb mera nhi , par mujhe abb bhi tera khayal hai.
Bhool gayi hai tu mujh ko, teri yaad aaj bhi mujh may hai baki.
Jaise gyi ho tum, hum bhi uss tarah hum bhi gujar jaynge.
Minnate karoge harr darr par, fir bhi hum laut kar na aaynge.
Tadapta choda tha tumne, abb tumhe bhi waise hi tadpaynge.
Magr Ek baat yaad rakhna - Hum laut kar kabhi na aaynge
_Akib Khan-
Aaj fir padha hai khat tera,
Lafz bhi tum kya khoob istemal krte ho
Khud ko bekasoor bata kar humse hi sawal krte ho.
Tere harr lafzo m meetha sa zeher dikhta hai
Wafa k waade, mohabbat ke jhoothi kasme,
Sab kch ek dhoke sa lagta hai.
Karta rha intezar, teri raah k harr ek mod par.
Pta nhi tha akhir may tune apna ghar hi hai badla.
Tu badli, Apni Soch badli , fir rista badla , Mohabbat badla.
Muskura rha tha mai uske dhoke may.
Usko dekh kar kisi aurr k sath
Akhir may maine bhi apna hai rasta badla.
-Akib khan-
Tootey hain iss kadar
K abb khud ko sametna nahi aata
Harr roz dekhte hain Aaina
Magar ko pehchana nahi jata.
Bhule hain teri harr baat , magar
Teri har ek baat bhula nahi jata.
Log kehte hain khush rehte ho bht,
Abb unhe kya btau,
Haste hue woh manzar bhula nahi jata.
-Akib khan-
Na mai uss din ka gawah hu
Na tu uss din ki gawah hai
Dekha hai sare zamane ne tujhe uss din kisi aurr k sath
Teri uss bewafai ka sara zamana hi gawah hai.
Jo kehti thi, rahungi ta umar tumhre sath.
Na jaane kahan kho gayi hain woh lakeerain kismat ki,
Woh mere mohabbat ki adhuri si ek dastaan hai.
Roya tha uss din mai saari saari raat
Todh kar mera dil,
Na jane woh dono abb kahan hai.
Log kehte hain nahi hain abb wo dono bhi sath sath
Khuda jane, yeh kaha, aur woh kahan hai.
— Akib Khan-
Na mai uss din ka gawah hu
Na tu uss din ki gawah hai
Dekha tha sare zamane ne tujhe uss din kisi aurr k sath
Teri bewafai ka sara zamana gawah hai.
Jo kehti thi , rhungi sari umar tumhre sath.
Na jaane woh kismat ki lakeerain , mere hatho may kahan hai.
Roya tha uss din mai saari saari raat
Koi mujhe yeh to btaye k woh ladki abb khaan hai
Aur uska woh yaar abb woh khaan hai.
_Akib khan-
Woh kuch pal the zindagi ke,
Jo chaah kar bhi hum bhula na sake...
Luta diya us par apna sab kuch,
Phir bhi uska pyaar paa na sake...
Woh karti rahi bewafai,
Aur hum hain ke sab jaante hue bhi kisi ko bata na sake...
Dil toota magar shikwa bhi na kiya,
Apni mohabbat ka shor macha na sake...
Bas ek tasveer hai yaadon ki,
Jise chaah ke bhi mita na sake...
-Akib khan-
Maine apni pyari chiz khoyi hai
Kisi ko mile toh koi laa dona.
Khoyi hai maine muskan meri
Waqt nikal kar mujhe kuch pal k liye hi sahi thoda hasa dona...
Bechaini si rehti hai dil may
Pas baith kar mere dil ko,tum thoda sa samjha dona
Darr lagta hai abb in tanhaiyon se
woh guzra hua waqt firse laa dona.
Bura main hoon ya bura hai yeh waqt
Koi iss bure sapne se mujhe jaga dona.
Aye logon , sunlo meri yeh ilteja
Koi jao jake usko mera dil-e-haal bta dona
-Akib Khan
-
Jo khwaab meri aankho may hain
Woh pyara sa khwaab ho tum
Harr pal mere khush rehne ka Ehsas ho tum
Tujhe sochta hu toh khush sa hojata hu
Tere hi khayalon may khud ko muskurata hua pata hu..
Meri khushi mere zeene ki aas ho tum
Meri zindagi ka ek khubsurat ehsas ho tum
Abb tak toh sirf sunaa hi tha
Apko dekh kar yakeen sa aagya
K mere liye jannat se utar kar aayi ho tum
📝Akib khan
|IG|Mustaqbil_alfaz_e_khan-
Ek baat jo aaj hai tumhe batani
Ek baat jo hai bs tujhe batani hai
Main hu bhatakta musafir,
Tu hai meri manzil ki nishani.
Mere harr ek khwaab ki,
Bs tu hi hai ek mukammal kahani..
Bin tere adhuri hai zindagi meri
Sath tere yeh zindagi hai betani
Humsafar hai tu meri
Aaj yeh baat harr ek ko hai batani.
Chahe dukh ho, sukh ho, yaa ho waqt bura
Tu bs harr kadam par dena sath mera
Bhatka agr andhere may main,
Tu thame rehna bs hath mera...
Khushi se beet jaygi zindagani
Yehi baat thi mere dil may
Jo aaj thi tumko batani ..
-
Kuch yunn tha aaj se ek saal k pehle ka mera yeh haal...!!!
Instagram par aayi thi request tumhri
Accept karu ya na karu mann may mere yehi chal raha sawal tha....!!
Khud ko sambhal maine, accept ki request tumhri.
Accept hote hi badd gyi meri bechaini saari..!!
Jb Open krke dekh rhe the profile tumhari
Tumhre salam ke message ne badha di thi dil ki dhadkan humari...!!!
Tumhri profile ki har ek photo ko dekh kar, sharmate hue dikh rahi thi muskaan humari...!!
Jaisa suna tha maine, uss se bilkul alag thi personality tumhari...
Jb jb yaad kru uss din ko main,
Chehre par aajati hai muskan humari....!!!
Intezar hai hume, jb sath may hogi tasveer humari..!!
Fakr se laynge profile par, duniya ko btaynge k yehi hain khushiyon ki wajah humari....!!❣️❣️-