Hum kya zara masroof hogaye,
Unki narazgi dikne lagi.
Janeman, ek waqt tha jab hum aapki masroofiyat se pyaar,
aur dedaar ke liye taraste the.
Zalim, hum tere khaamiyon se mohobbat karte rehe,
par, aap hamari mohabbat se mohobbat na kar sake.-
My attitude doesn't define me, let not your perceptions dr... read more
Pyaar ka rang gehra hota hai jab tum mujhe kitabon mein likhte ho,
Main tho sirf tumse mohabbat karti hun,
par tumhare shayari,
mujko mujhse ishq karvati hai.-
Kuch alag hi noor hai tujhme,
warna hum Chand ko bhi der tak nahi dekte.-
Toote huvi dil se nikalti huvi shayri, beshak Mohabbat bayan karti hai,
kambakht, tu yeh apne liye na soch,
meri aashiqui tujhse zyada alfazon se ishq karti hai.-
Umar bhar Ghalib yeh bhul karta raha,
lafzon ki deewangi se bani ishq ko
voh tasveer bana kar apne haale-e-dil bayan karta raha.
Umar ho chali thi uski ab,
phir bhi apni mohabbat ki chahat mein
parwana bankar jalta raha.
Us haseena ki tasveer par waqt apne dastkhat na chode,
Isliye, voh apni sayari mein uska itr chupane laga.-
Agar dooriyan na hoti,tho,
bahaane root jate.
Agar tum na hoti, tho,
Pyaar karne ke iraade choot jate.-
The moment!
Shades of red was the colour of the day.
Painted in red were my nails and lips,
outlined in hesitation and anticipation.
Unexpectedly his lips pressed against mine,
sealing in silence,
hearts skipped its beat.
Painting his lips with mine,
the moment blushed in hues of love.
While my lips acknowledged shyly,
his were smiling in reflection to mine.-