Sochti hun aksar me kya zindagi yahi hai
Sab kuchh toh hai par tanhaai si chhayi hai
Har din hun jaagti naya saweraa ke aash me
Yahan roshni par jese niraasha ka saaya hai
Kehne ko toh saari duniya hi apni hai
Magar yahan hume koi apna maanta kyun nhi
Iss Zindagi ke kayi hissedar hain lekin
Kisi ki Zindagi me mera hissa hota kyun nhi
Rishtein hain bas naam ke , apnaapan kahin bacha nahi
Farebi hain niyat se, Dikhawe ka parda hata nahi
Achhayi ke nakaab pehne firte hain jag me
Uljhan ne ghera ho jese, hal ka kuchh pata nahi
Kis din Zindagani me Karishma kyun nhi hota
Har din me jaah toh jaati hun, Armaan phir zinda kyun nahi hota
Hota rehta hai bahat kuchh , mere mann ka kabhi hua nahi
Zamana bhar toh paas hai , saath phir kyun koi nahi hota
Sawaali Mann ki hai itni si kahani
Kaisi ye Paheli Zindagani!
-