Sar Pe Jo Gathri Hai Usme Bojh Nahi Hai
Gathri Me Jo Sapna Hai Wo Bhari Hai-
Khuddari Ki Zindagi Me Izzat Mehfooz Hoti Hai
Mange Hue Saayo Me To Tapish Mehsoos Hoti Hai-
Wo Shaqs Jiski Kabi Banti Na Thi Zanzeer Se
Aaj Rassiye Uljhaye Baitha Hai Apne Shareer se-
Be Rang Sa Ye Ladka
Is Rangeen Duniya Se Pareshan Hai
Ab Kon Samjhaye Isey
Khudgarz Mizaaj Ka Zimmedar Insaan Hai-
Wo Jo Tum Jheel Dekh Rahe Ho Thehri Hui Khamosh Si
Wo Ek Dariya Tha Kabhi Jo Ruk Gaya Hai Behte Behte-
Uski Garam Chuskiyon Me
Sukoon Ki Hawaae Pi Leta Hu
Me Zara Udaas Ho Jaau
To Chai Pii Leta Hu-
You To Pareshan Wo Bhi Bhot Tha Mujhse Ruth Kr
Mene Manana Chaha To Guroor Me Aagya-
Usne Bas Dusro Ki Suni
Or Mujhe Kya Kuch Nahi Samjh?
Phir Aya Wo Meri Fitrat Pr Sawal Leke
Mene Mafi Mangi
Or Chup Rehna Theek Samjha-
Pair K Ladkhadane Pr To Sabki Nazar Hai
Sir Pr Kitna Bojh Hai Ye Koi Nahi Dekhta-