Hokar PATTHAR taalib,
chaahte ho HEERE ki qimat mile?
Dekh ban ke heera tu,
Phir laakhon kharidaar hoge.-
Badi mushkil hoti hai tujhe sehri me uthne ko,
Wo bachcha to tadpa hai poori raat sone ko.
Tere dastar pe thaali hai, tere pyaale me paani hai,
Wo bachche ka dastar e patthar to aansu hi paani hai.
Tera roza muqammal hai jab sooraj doob jata hai,
Wo bachche ke roze ka aaj mahina guzar jaata hai.
Hisaab me nahin sirf namaaz o roze ae Taalib
Wo bachchon ke aansu ka hisaab bhi usme ata hai.
Do remember Syrians, Palestinians and the whole world which looks for help...-
Kya likhta Taalib jab tu tanha hi hota,
Likhta ki tanha nahi hoon me,
Wo RAB ki rehmat mere saath hai.-
Kashtiyaan jo nikli safar e zindagi me
Doobte musaafir ko sambhalte dekha hai,
Jo ana o akad me lehron pe sawaar the
Unhi lehro se unko doobte dekha hai,
Jo agar hoti raat safar me andhera kaar hota tha,
Woh shamaa e rehmat e khuda ko rehbar bante dekha hai,
Har musaafir ki manzil ek qabr hai lekin,
Kisiko daulat o shohrat to kisiko ilm o aamaal
Apni kashti me bharte dekha hai
Ajab taraazu hai qaadir tera,
Daulat ko halka to aamaal ko wazandaar dekha hai...-
Samandar ki khaamoshi pe na has taalib
Wo kayi baatein chhupaye huwe hai
Usko pareshan na karna tu,
Wo khud me Tsunami liye huwe hai-
हुवा सवेरा हुवी पहट है,
चली कमल सी हवा भी अब है।
है रोशनी चारो तरफ ही तरफ है,
मगर न तेज़ है न धीमी बहुत है।
किलकारिया चिड़िया की भी है,
है मधुर कोयल की आवाज़ भी है।
थोड़ा सा हल्का कोहरा जमा है,
उठ जा तालिब
अब तक तू उठा नहीं है!-
You hunt for eternal peace through the globe
Have a simple and good mentality, it would be in you...-
Hai bechain o pareshan
dono bhi
Thaali thi bhari jiski
woh jeb bhare par roye
Khaali thi thaali jiski
wo peth bhare par roye.-