Kuch aihesas the jo hamari aankhon se behte behte reh gaye,
Kuch baatein thi jo kehni wo hum kehte kehte reh gaye!-
Khud ke marz ki khabar sab ko hoti hai,
Dusron ke marz ki khabar kissi ko nahi!
Dusron ka dawa-e-marz sab ko maloom hota hai,
Khud ka dawa-e-marz kissi ko nahi!-
Nahi bhulunga main!
Wo tera mere kareeb aana ,
mere seene pe apni hatheli
se meri badhti dhadkano ko
mehsoos karna aur muskurate
hue meri mohabbat ka subut lena!!-
Jab-Jab tu muskura kar muskurane ke bahaane talaashti hai,
humari bhi dhadkano ko saanse diye jaati hai!!-
Jab-jab tu muskura kar muskurane ke bahaane talaashti hai,
Tab-tab humein bhi jeene ki wajeh diye jati hai!
-
Fizaaon me behti teri khushboo humein nabz de gayi!
Ek shaam sath thi tu,
To agli subha teri na-maujudgi humein lafz de gayi!!-
Ek khayaal hai mera, tere khayaalon me kahin.
Jab kabhi wo khayaal aaye to bss apna khayaal rakhna!-
Wo wahan hai jahan meri manzil hai!
Wo yahan nahi kissi bhi chehre mein !!-
Aabhi aabhi to aayi ho, kuch pal thehro to zara!
jaan ko to jaana he hai,
Kuch pal pehlu me reh lo to zara!!-
Jaane kyun mere din khafaa hai mujhse?
Bewafaai to maine apni raaton se ki thi!-