Ki Hum wo siyah naseeb hain tariq
Ki shehar me
Khole dukan kafan ki to sab marna chor den.-
itami o kanjiro (feel pain)
itami o kangaero (know pain
itami o uketore (accept pain)
itami o shiranu mono ni
honto no heiwa wa wakaran
(those who do not know pain will never understand true peace)-
Na pinjra mila use wapis
Na koi aur mehfooz jagah,
Wo parinda asman me nikal kar
Akela bahut tha.-
Apne se jo uncha sanam dekhte hain
Zindagi me ranz-o-alam dekhte hain.
(Allama iqbal)-
Kitab sada rahegi kab tak Kahin to aghaz e bab(begining) hoga
Jinhone bastiyan ujad dali Kabhi to inka hisab hoga
Sukoot e sahra(Silence of desert) me basne walo, Ruto ka mijaj samjho
Abhi to ghutan itni badhegi ki sans lena ajab hoga.
Murtaza barlas...-
Hoon to khak magar muhammad(ﷺ)
se hai nisbat meri,
Bas ek yahi rishta meri aukaat badal deta hai.-
dilawari mein fard hai, bada hi sher e mard hai
ke jiske dabdab’e se, rang dushmano ka jard hai
habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai
...........Ye bilyakin hussain (R.A) hai..........
Ye bilyakin hussain (R.A) hai-
udhar sipaah’e shaam hai, hazaar intezaam hai
udhar hai dushmanaan’e deen, idhar faqat Imam hai
magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
ke jis taraf uthi hai teigh(blade), bas Khuda ka naam hai
......Ye bilyakeen hussain(R.A) hai......
Ye bilyakeen hussain(R.A) hai
-
justuju-e-tammana phir thikane le ayi
Chale jis rah pe hamko maikhane le ayi
Khata teri na thi, kami thi mujh me pehle se
Mai jal chuka jab tu aag lagane ayi
Jab kafan bandh rha tha akele tu na ayi
Jamana sath tu mayyat uthane le ayi
-