In a quest to become good,
I discovered how bad I am
-Unknown-
Mn kia ki likh du aj
Mn kia ki bayan kardu sare raaz
Mn kia ki khamosh hu jo itne din se khtam kardu aaj
Lekin phir mn kia ki agar bolu to kya bolu
Andar khali hi to hai sab
Umeedon ka bojh aur naseeb ki lakeeron ki kharoch hi to hai sab-
Paed ke Sukhe patte si zindagi ho gyi hai
Na shakh se tut kar gir paa raha hu
Aur na sukoon se jee paa raha hu
Samay ke safar ki dastan yu hai ki
Jeene ki umeed bhi bahut hai
Aur is zindagi se thak bhi chuke hain-
Bahut si baaton ka bojh hai mn mai
Batane ko bahut Kuch hai
Lekin kisi ko kya hi batayen
Kabhi koi haal-e-dil ki dastan puche bhi to has kar......Mn mai roya bahut hu-
चिरागों को आंखों में महफूज रखना
बड़ी दूर तक रात ही रात होगी
मुसाफिर हो तुम भी मुसाफिर हैं हम भी
किसी मोड़ पर फिर मुलाकात होगी।
-Ayush-
Dost tumhe abhi bahut kuch seekhna hai
Dusre ki samjhdaari se kam khud ke ghav se zyada
Dil ke tute afsane honge
Hongi tuti umeeden zyada
Gam ke andhere mai basa hoga ek kona tumhara
Dil ki baaten dil hi tak rehne do
Ye zamane mai dum nahi ki rakh le ye gam tumhara
Dost...tumhe abhi bahut kuch seekhna hai...-
Chup hi rehne do mujhe
Mn mai chal rahe tufaan ka tamasha, batane ka mn nahi hota ab.-
Sab kamiyon ki talaash mai the
Na jane kyon khoobiyon
ko hi dafan kar aye
Gussa bhi hai udaas bhi hu
Sab bata du esi baat bhi nahi
Kya karu is gusse ka ab koi
esa khas bacha nahi-
Kabhi kuch baaton ko sun hi lo
Kya pta kisi ko bas batane mai hi sukoon milta ho-