Jeene ke liye khushiyon ka hona
zaruri nahi
Zaruri hai ki gumon ka tufaan ho
Mas-alein to sabhi ke zindagi me
hai 'alim'
Or tumhe gumaan hai ki faqat tum hi
pareshaan ho-
Jo logon ke saath daga karke
Kaafi khush hai unse kehna 'alim'
Ek roz unhe bhi mout aani hai
Hisaab dena hai . . .-
Logon ki khushiyon me
shaamil hona sikho "alim"
Jalne ko to saari dunia jalti hai,
logon ko khush dekh kar-
Muskan hai naam jiska
Wo khud nahi muskurati
'alim'
Or tum logon se puchte ho
Wo muskurate kyoun nahi-
Aansu to khushi ke bhi
Acche nahi lagte
'alim'
To gum me muskura kar log
Kya galat karte hai-
Lab par hazaar gum hai
Hai hazaaro sitam magar
Hum fir bhi yaar tere hai
Hai tere hum magar-
Koi khushi nahi hai,
Dil me gum bhara hai bus
Har shaksh hai bura,
Bahot-bahot bura hai bus-
Hum saare drd-e-gum, sitam ko bhool jaayenge
Dil se nahi par lab se, hum bhi muskurayenge
Aayega nahi dekh kar, kisi ko ab qarar
Kuch is tarah se dil ko hum, apne manayenge
Dil ko sukoon chahiye, chahiye raaz daar
Khud se milenge khud ko apna gum sunayenge
Murda hua pada hai ishq, is zamane me
Ye raaz cheekh cheekh kar sab ko batayenge
Aata nahi koi bhi laut kar ke baar baar
Yehi kahenge sab se sab ka dil dukhayenge-
Hum kisi ke na rahe
Koi humara na raha
Na rahi ranjishein na gum
Na khasara, naa raha
Hai ye mumkin ke wo
Aa jaye in khayalon me
Par ye bhi hai ke wo
Is dil me dobara na raha-
Dost kehne ko hai sab ahle zamane waale
Maine tujhe chaaha tha, aye mujhko satane wale
Dil ke halaat tune kaanch bana rakhe hai
Dil-e-nadaan ko aye tod ke jaane waale
Tere mehfil ke chiragon ko jalana tha mujhe
Aye mere dil ke chirazon ko bhujhane wale
Jo tujhe haste hue dekh hum bhi haste the
Aye mere haste hue lab ko rulane waale-