Apni hi basti me hamse...apni hi basti ke log,,,
Puchte hain konsi basti se ho, kya name hai.
अपनी ही बस्ती में हमसे...अपनी ही बस्ती के लोग,,,,
पूछते हैं कोंसी बस्ती से हो, क्या नाम है।-
कया वक्त था , क्या फिजा थी मेरे मुल्क की।
मिसाल देती थी दुनिया ये मेरे मुल्क की।
हुकूमत बदली, रंग बदला फ़िर दिल भी बदल गए।
हिला कर रख दी बुनियाद साहिब ने मेरे मुल्क की।
अब ना जाने कब आएगी वो बहार फिर लौट के।
कर रही है इंतजार ज़ख्मी रूह मेरे मुल्क की।
HAPPY REPUBLIC DAY.-
Dil Ka Haal Batana Nahi Aata
Hume Aise Kisi Ko samjhana Nahi Aata,
Sunna To Chahte Hain Hum Unki Awaaj Ko
Par hume Koi Baat Karne Ka Bahana Nahi Aata.
-
Sambhal jao jahan walo ki ab bhi mauka hai,
Ye duniya kuch nhi hai sirf ek nazro ka dhoka hai.
Ek WABA ne tumko dikhlai tumhari hadh,
Zindagi ki haqeeqat faqat ek hawa ka jhoka hai.
Abhi bhi wakt hai nada zara socho zara samjho,
Jo kal tak badasha tha aj wo kabro me sota hai.
Dua hai bas yehi tujhse mere maula mere malik,
Karam ho ya khudara ab ke sara mulk rota hai.
-
Nakabo ki ye duniya me,asal chehre kaha dhundhu,
Khiza ki shukhi basti me rawa nehre kaha dhundhu.
Me jab awaz deta hu to bas Aahe nikalti hai,
Ke sara jism chalni hai, zakham gehre kaha dhundhu.
-
Jala kar rakh na kar de kahi mere watan ko,
Bacha lo aye watan walo ,mere pyare watan ko.
Ye nafrat ki duka kisne lagai hai , zara dekho,
Koi to lootna chahta hai is pyare Chaman ko.-
Kya wakt tha,kya Fiza thi mere mulk ki,
Misal deti thi ye duniya mere mulk ki.
Rang badla, hukumat badli, Dil badle,
Hila kar rakh di buniyad Saheb ne mere mulk ki.
Ab na jane kab aayegi wo bahar phirse,
Kar rahi hai intezar ruh mere mulk ki.-