Dil mein hee dafn kar diya
Jo dil ki muraaad thii
Shayad imtehan se pehle hee
Anjam ki khabar thii
Kuch Gulab sey milti julti
Ye apni daaastan hai
Kaaantein iski haqeeqt hai
Warna Pankhudiyan toh
bass kuch dinon ki mehmaaan hai
-
Aansuon se koshish ki ,ke dil ki aag ko bujha lein
Magar ye aag hai k bujhti hee nahi
Zakhmon pe marham bhi be-asar hai
Inn zakhmon k daag hai k mit-tey hee nahi-
Naa zid hai meri
Aur na hee koi junoon hai
Iss bechaini mein bhi
Alag qism ka sukoon hai
Saansein tham jaati hai
Bas uske nazar bhar dekhne se
Dhadkanon pe ab naa jaane laagu
Kiski hukummat ka kanoon hai
-
Kyun karte ho afsoos
k wo badalte mausam k saath hee
badal gaye
Aakhir sardiyon ki
suhani dhoop bhi garmiyon mein
aksar chubhne lagti hai-
Shikwe kaee thaey magar kabhi faryaaad nahi kia
Uski bedardi mein dil ko barbaad kar dia
Uske jhoot ginne baith-tey , toh naa jaane kitne arsey guzar jaaate
Iss-liye uske waaadon ka maine kabhi hisab nahi kia-
Toh kya hua agar tumhe kisine gulab nahi diya
Kam se kam kuch kaanton sey toh hifazat hoo gayi-
Humari galti toh bus uss chai patti jitni hee thii
Rangg aur zaikey sey kisi kii zindagii mehkaa dii
Uski berangg zindagi ko behtar bananey k liye kya kuch naa kiaa
Magar naa jaaney kyun usneyy humey khudd sey alag kr dia-
Kuch iss qadar mashroof
rehne lagey hai wo
K humse abb baat
bhi nahi karte
Mana k bhule nahi hai
wo humein
Magar humein yaad bhi
toh nhi krte-
Hey there ππ»π
Are you sad about not getting a gift on Christmas ?
Wait a minute
Were you not told that you are the biggest gift under the Christmas tree that Santa left for someone on a special requestπ€ ?
Merry Christmas πβοΈππ-
Naa jaaney khuda ka kaisa ye faisla hai
Manzil aur mere beech ghat-taa nahi faasla hai
Ajeeb kism ki kashmakash mein ghira hunn
Ab naa hee zindagi ki khaas khwahish hai
Aur naa hee maut ka ghila hai-