نہیں ملتی میں خود پسند ہستی سے
مجھے نفرت بہت ہے انا پرستی سے۔
Nhi milti main khud pasand hasti se
mujhe nafrat bahot h ana parasti se-
Manzil par pahonche ham bhi mgr zra taakheer se
Safar me Barsaat ho to rasta hota hai pur.khatar..-
Pakke gharo.n k makee.n se kyun poochte ho ye sawal..
Barish ka mijaaz pooch lo kachche makaan se..-
Kehne ko sb log the apne
Wo ghr mgr apna nhi tha.
کہنے کو سب لوگ تھے اپنے
وہ گھر مگر اپنا نہیں تھا ۔-
Mere sir par mgr Tune apna saa.ebaan rakh diya
Zara se faasle par zameen se aasmaan rakh diya
Main dekhti hun charagh-e-sahar hr hawadis me
Jo Tune aazmaaisho.n me iska nishaan rakh diya-
Zara mauje.n tez hon saahil badal dete ho kyun
Safar mushkil ho to manzil badal dete ho kyun,
Kuch saabit qadam hone ki tum koshish to karo
Dil lagne se pehle dyar-e-dil badal dete ho kyun,
Yaqee.n hai jeetne ka jab aaghaz-e-mubaahis me
aakhri marhalo.n me dalaa.il badal dete ho kyun,
Jahan bhi rahe dost kaar-gaah-e-fikr me hi rahe
Maktb-e-shauq ki mgr mahfil badal dete ho kyun,
Kamar-e-dil par-e-bismil k manind h ye zindagi
Andheri rah me Pir-e-Kaamil badal dete ho kyun.-
Zehar ka paudha shehr me lagaya ja rha hai
Nafrat ka jangal dilon me basaya ja rha hai-
Fikar na kr tere bare me
koi kya sochta hai
Tu khud ko jo samjhta hai
wo zaroori hai ...
فکر نا کر تیرے بارے میں
کوئی کیا سوچتا ہے ،
تُو خود کو جو سمجھتا ہے
وہ ضروری ہے ۔-
Jo tune kaha nhi lafz tere wo bhi sune hain maine..
Jo tune likha nhi khat tere wo bhi pdhe hain maine..-