Akshi Mittal  
14 Followers · 29 Following

Joined 5 May 2020


Joined 5 May 2020
1 APR 2021 AT 9:48

Jiyo bas ab apne liye


Khud se thodha rutha sa hu.....
Khud se shikayate bhi hai.....
Waqt bithaya khud ke saath, toh lagi bhaut kami khud mein.....
Kami toh hoti sab main, likin sudharne ki iccha jis mein hoti, banta toh woh hi kamyab hai
Sudharo khud ko apne liye......
Jiyo ab apne liye......
Manzil toh bhaut hai, pao usko apne liye....
Jiyo bas ab apne liye.....
Khushi talash karo ab apne liye....
Jiyo ab apni khushi ke liye....
Jiyo bas apne liye, bas ab jiyo apne liye...

-


29 JAN 2021 AT 22:25

Bharosa

Bharosa shabd hai chota likin iski kimat bhaut hai
Bharosa bhaut mushkhil se kisi par ho pata hai
Likin aaj kal bhaut jaldi isko toodh diya jata hai
Aur jab yeh toot tha hai sab kuch bikhar jata hai
Bharosa rishto ki neev hoti hai
Aur bharosa tootne ke baad aadmi hil jata hai.......

-


24 JUL 2020 AT 0:29

Meri bhen

Jab tu hasti thi, haste the sab yaha
Tere pareshan hone par, ho jaate the sab pareshan
Tere se shuruwat hoti yaha sabki....

Tu thi sabki ladli, tu thi aakhon ka tara
Tere se yaha hota roz sawera
Tere hasne se haas jaate the sab
Tujhe khush dekhne ke liye karte har pryatan
Tujhe aasu na aaye, thi sabki yahi koshish
Kyoki tujhe rohta dekh hote sab pareshan

Jaha bhi hai, tu meri bhen
Chahti hu bas ki tere chehre se khushi na ho kabhi kam
Sikha de hasna dusre ko bhi
Tere jaane ka gum hai sabko likin koi dikha nahi pata
Teri tasveer dekh kar kabhi khush kabhi dukhi hum ho jaate likin fir bhi kabhi dusre ko na batate
Wapas aa toh tu sakti nahi yeh pata hai sabko
Jabhi sab chup ho jate
Sab chup ho jate........

-


2 JUL 2020 AT 16:04

Zindagi

Zindagi kya cheez hai, jo itni zaruri hai
Zindagi kya hai jisko sawarne ke liye sab pagal hai
Itni unjaani si hai, kabhi haasti hai aur kabhi rula deti hai
Kabhi dosto se milati hai, kabhi unhi ko dushman bana deti hai
Kabhi pyaar se parichay karwati hai, kabhi ussi ko ajnabi bana deti hai
Kya koi samajh paaya hai isko, ki itna haasa kar bhi aakhir kyo rula deti hai yeh zindagi
Kya hai yeh, kaisi hai yeh, koi aaj mujhe bhi batao na ki zindagi kya hai.....

-


25 JUN 2020 AT 14:34

Dost

Kisi ne pucha mujhse dost kya hai....
Soch mein padh gayi aakhir kya paribasha hai dost ki...
Koi kehta hai dost ki bina zindagi aadhuri hai
Koi kehta hai dost sikhata hai masti karna
Koi kehta hai dost hi toh sambhlta hai humko girne se
Likin agar kaho mein yeh ki dost ne hi gira diya mujhe sab ki nazar mein, toh kya yeh galat hai kya wo dosti nahi thi
Kya wo ek fareeb tha.....
Aakhir kya paribasha hai dost ki, samjha toh do koi mujhe bhi...............
Hai bhaut se dost mere bhi jo hai dil ki kareeb mere
Sikhaya hai bhaut kuch unhone mujhe
Aur sirf dhanyawad se aaj kaam nahi chalega, kyoki dekha di aaj ek duniya unhone, aur kadhe mile wo mujhe hamesha jab bhi zarurt padi unki❤❤

-


17 JUN 2020 AT 6:21

Pyaar-Mohabbat

Kya hai pyaar, aur kise kehte hai mohabbat
Sacha pyaar toh woh hai jo ghar wale karte hai nissavaarth, duniya jo deti hai wo toh bhara hua hai savaarth se

Jinko mila iss duniya se nissavaarth pyaar honge bade khushnaseeb woh
Kyoki khush toh wo bhi hai jinka dil toodh toodh kar tum chale jaate ho hamesha

Duniya bhaut buri hai samajh toh aa gaya tha phele bhi
Likin jab taak khud ke saath kuch na ho kaise kar leti yakeen

Yakeen toh aaj bhi hai uss pyaar par likin himmat kaha se lao fir se mohabbat karne ki
Pyaar sab kar lete hai likin nibhana nahi aata kisi ko aur jab bhoj lagti hai cheeze nikal toh dete hai makkhi ki tarah tumko apni zindagi se...........

-


5 JUN 2020 AT 22:27

Rishte

Rishte kisi cheez ke mohtaaz nahi hote
Rishte toh bas dil se nibhaye jaate hai
Rishte mein darar aaye toh bhi koi gum nahi kyoki sache rishte kabhi nahi toodte
Keh rahi hu khud ke tajurbe se ki maaf kar ke toh dekh kisiko milta hai sakun apne dil ko hi bhaut
Naraz toh sab hi hote hai likin apne ko manane ka maza bhi bhaut alag hai maza bhi bhaut alag hai......

-


26 MAY 2020 AT 19:44

Faisla

Kaun galat ya kaun sahi kaise faisla kare iska
Kaun sacha kaun jhoota kaise faisla kare iska
Hamesha wo sacha nahi jo apni baat bol pae
Hamesha wo jhoota nahi jo apni baat ka bata paye
Jhoot sach toh bhagwan na pechchan paye tum insaan kaise faisla kar sakte ho
Baat toh sunn lo sabki bina apna faisla sunaye
Samajh toh aa gayi ek baat chup rehne mein bhaut takat hai
Faisla karne wale zara kar le vichar ek baar kyoki faisle aur fasle mein ek akshar ka andar

-


22 MAY 2020 AT 8:54

Bachpan

Kya hota hai bachpan, aakir kya hai bachpana
Mehenge khilone se khelna kya bachpan hai?
Ya badi badi gaadi mein ghuma kya aacha bachpan hai?
Mere hisab se bachpan wo hai jis mein mila dadi-nani ka pyaar, shiksha mili unse
Bachpan wo beeta aacha jis mein sunni unse kahaniya
Bachpan toh wo aacha hai jis mein mila sab ka pyaar

Aur sabse zyada badnaseeb hai wo jinhone gawa diya apna bachpan kyoki na hai ghar unke pass na hai kahane ko unke pass kuch
Jo nikal jaate hai subah se apne bhai-bhen ko lekar sadko par aur kama kar le kar aate hai kuch ghar walo ke liye

Bade khushnaseeb samjho apne aap ko jinn ke pass hai bado ka pyaar aur aashirvaad
Warna badnaseeb toh bhaut hai iss duniya mein
Kabhi na samjho khud ko chota, aur na karo kisi dusre ki hiras
Kyoki jo tumhe mila wo shayad unko na mila ho kabhi

-


18 MAY 2020 AT 16:27

Gareeb

Gareeb kaun hai, kaise bata kaun garib kaun ameer zara mujhe bhi bata do
Gareeb toh wo hai jiska dil itna bada nahi ki wo dusre ki madat kar sake
Gareeb toh wo hai jiska dil se awaz nahi aayi dusre ko roote dekh kar
Gareeb wo hai jiske pass dil nahi hai apna saman dusre ko dena ka
Gareeb wo hai jisne aaj taak kuch apne mann se na diya logo ko
Gareeb wo hai jo iss duniya mein sab ke hote hue akela hai
Gareeb wo hai jiske maa-baap hote hue wo unke saath nahi hai

-


Fetching Akshi Mittal Quotes