Mat lautaana vo wakht kabhi jo tuj per luta diya,
Mat lautaana vo huk kabhi jo tuj per gawa diya,
Mat lautaana vo naamaa kabhi jo tuj per udha diya,
Bas ab laut kar kabhi na ana us gali jise tune bhula diya,
Bas ab laut kar na bulana vo naam jise tune thukra diya,
Bas ab laut kar na lena vo kasme jinhe tune ruswa kar diya,
Bas ab laut kar na ana us dar per jis tune jala diya,
Bas ab laut kar na dekhna mud kar kabhi jinhe tune dafna diya,
Mat lautaana ab vo yaad koi jinhe tere gum mai jala diya....!-
because I have courage to stand back, I have courage to fight... read more
Kuch raste bhool jane hai,
Kuch baate bhool jane hai,
Kuch log bhool jane hai,
Kuch dard bhool jane hai,
Kuch zakham bhool jane hai,
Hume rote hue vo lamhe bhool jane hai,
Jin kimato per chora tha sath kisi ne humara,
Vo saude bhool jane hai,
Bekarar aksar rehta hai dil ye dhokha khake akele mehfilo mai,
Hume bas vo beete afsaane bhool jane hai,
Koshish karenge puri is rooh se nikalne ki usko,
Ki humko vo pyar ke fasaane bhool jaaane hai ....!-
Kabhi kabhi suroor hi ata hai bas aehsaas ka tab hi dil tut jata hai,
Kabhi kabhi dard hota nahi fir bhi marham lagane wala mil jata hai,
Ye kismat kaho ya khuda ka khel ,
Ek taraf zakhmo se nihla deta hai,
Aur ek taraf zindgi ki khoobsurat manzilo per khada kar deta hai...!
-
In jhuki hui nigaho mai beshumaar saadgi kaed hai,
In behti hui muskurahato mai na jaane kitni bahaare kaed hai,
In bikhri hui zulfoo mai na jaane kitni khumaariya kaed hai,
In gori gori baaho mai pallu bhi jese tumhara aashik bana kaed hai,
Ye haya tere chehre ki jese teri pyaari si Surat mai saari kaayenaat ki khoobsurati kaed hai,
Bade sambhal ke rakhna in kadmo ko zameen per ki in komal paao mai na jaane kitne phoolo ki khooshboo kaed hai,
Hum besabri se bas Dil thaame baethe rehte hai teri tasveer ko dekhte hue,
Ki teri tasveer mai jese humari sanse kaed hai ,
Tuje dekhte hai jitna bas khushi se jhoom uthti hai dhadhkane,
Ki jese teri parchai mai bhi humari nazrein kaed hai,
Tere aane ki aahaatein badi bechen kar deti hai tuje dekhne ke liye ,
Ki jese is duniya ki sari mohobat bas teri ek jhalak mai kaed hai ....!
-
Khilafaton ke daur mai koi kheriyat puchta nahi hai ,
Hum dil lagi kare to kese koi hasrat puchta nahi hai,
Kabhi zubaani to kabhi be-zubani Ishq farmaya humne,
Koi ruth bhi jaaye to koi zakham-e-silsila puchta nahi hai,
Kaayede se mohobat karne ka zamana beet gya sahib,
Ab koi tehzeeb se adaab tak pesh karta nahi hai,
Hum fitrat-e-zamane per kitaabe likh de tamaam khuwaisho ki,
Ki sargoshiyo ki farmaishe koi puchta nahi hai,
Lipat jate hai raaste khaakh hote hue jismo ke,
Yakeen maniye sahib mashhoor the ya gamgeen, fannah hojane ke baad koi puchta nahi hai,
Chaliye rukhsat-e-mushaera kar dete hai zamane se,
Ab log mohobat ko beparda karke hasna chaahte hai, per Shaayero ke halato ko ab koi puchta nahi hai,
Wakht hi to reh guzar hai ab salaam farmane ke liye,
Bewakt kayaamato ke daur mai ab koi wakht bhi puchta nahi hai,
Hum akele sahi aagosh mai maut ki, ki mohobat karke bhi mohobat se koi naam tak puchta nahi hai...!-
Rahat milti nahi roshni mai bhi humko,
Ki andhera chuta nahi kabhi andar se humko,
Savera to roz hota hai zindgi mai yu hi ,
Per ye raat chorti hi nahi humko,
Baate bhaut karti hai ye humse,
Kabhi andhere mai to kabhi nakli ujalo mai ,
Hum bebas hai iski dosti mai,
Ki is raat ke siva aur koi raas ata nahi humko,
Dil lagi to roshni mai karke bhi dhokha kha jate hai,
Log andhero mai sath chor jate hai,
Hume parva nahi ab kisi ki,
Na kisi yaado ke mauhtaaj hai,
Ki ab zindgi mai bachi hi bas raat hai,
Jo har pal Lori sunati hai humko...!-
Bade khayalto mai jeete hai,
Na jane hum kin halato mai jeete hai,
Hum ishq farmaya nahi karte aksar har kisi se,
Jinse karke chor diya unse pucho unke bina kese jeete hai,
Badi tabiyat se ashiqui karke chor di un raasto per,
Jin rasto per aksar Ishq badnaam hote hai,
Hum beparda kare bhi to kin bewafao ko,
Ki jo gunaah karte hai unhi se ishq bepannah hote hai....!-
Duniya mai sab kuch milta hai saahib,
Bas sachi mohobat nahi milti,
Yu to galiyo Mai janaze mil jate hai aksar ashiko ke,
Per shamshaan nahi milti,
Yu to rakh bhi milti hai duniya mai ,
aur shauhrat-e-andaaz bhi,
Ki dua bhi milti hai yaha aur dawa-e-khaas bhi,
Bas kisi dar per tute hue dil ki dawa nahi milti,
Be-zubaan bhi milte hai mohobat ke sath yaha per,
Aur zubaan walo ki ankho Mai haya nahi milti....!-
Sehejta se bas mai karlete hai armaano ko apne,
Apki Sheetal si vani sunte hi Mann behek jata hai,
In sheetal ankho Mai theraav itna hai ki theher jane ko jee chahta hai,
Sheetal Mann mai apke base na koye mohe Siva,
Bas ye hi har wakht Mann chanchal gungunata hai,
Sheetal hojata hai mann ye mora jab jab naina tohe jhuk kar kuch keh jate hai,
Hum Mann mai Prem geet gungunate hai ,
Tohe madhur hue paao payal per jhoom jate hai,
Tere payal ki dhun hriday mai sheetal sa saaz bajati hai,
Naam leta hu tera jab jab,
Meri tan man mai sheetalta sama jati hai ,
Theher jane de in naino mai humko ,
Ki teri natkhat baaliya bhi badi sheetal dhun sunati hai,
Mann ko bhaa jaye jo teri akhiya humne badi sheetal laad ladati hai,
Tap jaayo jo paao dhoop mai teri raah mai takte takte,
Bas Teri ek muskaan har ghaav ko sheetal kar jaati hai ...!-
Kuch kitabein yu hi khulti nahi,
Kuch panne yu hi padhe nahi jate,
Kuch alfaaz Mitte nahi,
To kuch aehsaas likhe nahi jaate,
Bas dariya sa behta hai Mausam mujmai,
Kuch garmiya rubaroo hojati hai,
To kuch sardiya katti nahi,
Kuch kahaniya yu hi kehte nahi,
Kuch kisse gum hojate hai,
Kuch darwaze yu hi khulte nahi,
Kuch intzaar sadiya ban jate hai,
Kuch hamraaz yu hi milte nahi,
Kuch Safar tanha kaate nahi jate...!
-