Barasti shamon mein ashk
koi ab bhi chhupa jata hoga
Yaadon Ka silsila multavi kar
koi ab bhi muskura jata hoga,
ghalatfahmiyon ka shikar rishte
ab bhi ho Jaya karte honge
Mohabbat ka chola pehan
aag koi ab bhi laga jata hoga,
Kashish baqi kaha
ab naye rishton mein rahi
Purani kitabon mein rakha phool
koi sama ab bhi mehka jata hoga.-
Kuch khwab jab tute
Humsaye bhi humse ruthe,
Neend aayi na phir
kabhi, bedaar hum aise hue.-
Laut aaye ho Jo tum
Kaho kiya sunaun,
Hijr ki wo shaam sunaun
Iztiraab-e- subah sunaun
Kaho kiya sunaun?-
Har roz dhalte dhalte
ek naye kirdar mein
khud ka wajood mera ajnabee ho gya,
Kehne ko main kehta
parwah nahi muashre ki
pehan leta hun naqab
main insan dekhkar,
Mehfil mein jo tumse milun kabhi
koshish na karna mujhe smjhne ki,
beshumar pardon ke peeche
kahi sehma sa hun main.-
Yeh kaun sa sheher hai
bas besukooni jaha mayassar hai,
tareeqi mein dooba kirdar har shakhs ka
roshinoyo mein sharabor ye
sheher hai,
ladkhada jayein
jo yaha kadam Kabhi
Sambhalne ki bhi mohlat nahi
waqt ki daud mein
giraftar har shakhs hai,
ek roz hamse shanasai
jo mila
Ubhar aayi shikan
mathe par uski,
zara akhlaq se usse main mila.
Yeh kaun sa sheher hai
bas besukooni jaha mayssar hai.
-