jinhe baar baar samjhaana pade toh samajh lijiue ke woh samajhna hi nahi chahte..!!
-
WRITER✍✍
HUM APNE HI LAFZ MEIN APNI TAREEF KYA KAREN,
BAS ITNA SAMAJH LO HOON TOH... read more
inhi mein zindagi guzaroge toh jee paoge,
mohabbat ke siwa khushi kahan mill paaye hai,
ider uder ankhon ka jana toh soch de jaaye,
ankhen nichi rakh kar chale fir toh yeh chalta jaaye hai,
le kar koi na aata hai ishq kahin se
yeh toh khud insaan mein aag ki tarah lag jaaye hai,
ho kar udaas is jahaan se kahan jaoge
jahan bhi jaon jahaan mein hi khud ko paaye hai,
ab "mansoor" koi hal bhi toh nahi ise suljhaane ka
kab yahan roshni leker khuda aaye hai,
-
ulajti si jaaye hai jab baat ban paaye hai
seene mein yeh khalish liye kya guftagoo ho paaye hai,
ishq ka junoon kis par nahi chadta
yun hi nahi naam dewaana e ashiq hi paaye hai,
qaid ho kar mohabbat ki zanjeer mein
nasamajh toh isse nikalna chaahe hai,
asaan kahan ishq ke housloon se takraana
fir bhi kambhakt sedhhi chadta jaaye hai,
haaye yeh tadap kahin nuksaan na de jaaye
mukhjo ko andar hi andar ek jalan si aaye hai,
-
zeest se tang ho toh marr jao
mout ka ehsaas ho toh darr jao,
kahin itihaas likhe gayen hain yahan
kuch karne ka socho toh kar jao,
koi tumara saath nahi dega yahan
pareshaan ho agar toh lad jao,
thak gaye ho zindagi se agar tum
kuch mat karo bas theher jao,
kab tak mashwarey kaam aayenge yahan
mann se koi awaaz aaye toh sun jao,
kab tak aise hi pade rahoge tum "mansoor"
yun hi nahi kehte log ke tum sudhar jao,
-
yahan itne dard milte hain ke kuch kiya nahi jaata,
khud ke andar se hi zakhmoon ko siya nahi jaata,
naa janey kitne gham dil mein liye betha karte hain,
humse toh khud apna gham piya nahi jaata,
uljha sa mein pareshaan sa mein is jahaan mein,
kambakht humse toh mohabbat bhi kiya nahi jaata,
tu laakh koshishen kar isse door bhaagne ki "mansoor"
yeh toh teri aadat hai tujhse kabhi juda nahi jaata,
-
mein hawa hoon koi mujhe chuu nahi sakta
apni marzi se aata hoon koi bhula nahi sakta,
meri hunar yeh ke mujhe kisi se waasta nahi
waqt ke hisaab se chalta hoon koi chala nahi sakta,
-
is desh ka naam hindustan toh hai lekin,
yahan dastan hindu muslim ki kehte hain sab,
hindu muslim sikh isaayi aapas mein hai bhai bhai,
aisi baat hai toh kyun yeh tamasha karte hain sab,
kaisa qeher hai yeh naa janey kab khatam ho,
koi toh kuch kare bas yeh kehte hain sab,
ab na rukne wala hai yeh silsila kabhi bhi,
jaise rehte the waise hi rehte hain sab,
aao mansoor hum kuch karke dikhaaye yahan,
aise hi kehne waloon ko buzdil kehte hain sab,
-
kyun nahi milta yahan kisi ko apna bhagwaan,
kisi ishaare ke talaash mein rehte hain sab,
yahan kahin bhawaan hain har kisi ke liyee,
toh kyun kehte hain bhagwaan ek hai sab,
uljhe hue hain is sheher mein log mazhab mein,
sach baat toh yeh ke yahan gumraah hain sab,
is jahaan mein kon kisi ko mazhab bin puchta,
koi mazhab hi na ho tera toh thukte hain sab,
bas karo ab mazhaab ke naam par yeh tamasha,
yeh toh apni hi barbaadi hai jo chunte hain sab,
abaad kahan ho paayenge is sheher mein ghar,
yahan toh eik dusre se jalan mein rehte hain sab,
-
mazhab hai toh aman lekin yahan aman kahan,
alag alag soch se issi ke dushman bante hain sab,
na koi isko rokne wala na kuch kehne wala,
bhagwan toh bant chuka hai ab kiske khauf mein rehte hain sab,
jahan bhi jaayen bhagwaan ke alag alag ghar paayen,
kisi ko mandir kisi ko masjid kehte hain sab,
akhir rehta kahan bhagwaan hai kisko kya khabar,
apne apne mazhab ke taraafdaar hote hain sab,
marne ke baad bhi hoti hai yahan rasm mazhab ki,
kisi ko dafnaten toh kisi ko jalate hain sab,
-
insaan se pehle aata hai mazhab jiske raah par chalte hain sab,
koi mandir koi masjid kahin na kahin aate hain sab,
bante hain yahan apne apne mazhab mein log,
apne apne bhagwan mein uljhe rehte hain sab,
kon saccha hai kon jhootha hai yeh silsila chalta hai roz,
khuda aur bhagwan mein farq dhondte hain sab,
charcha rehta hai yahan kon aaya pehle aur kon baad mein,
kis par yakeen karen akhir, eik dusre ke khilaaf kehte hain sab,
-