Haan mana dard hai abhi main kuch bana nahi
Shayad main sapno ke liye kabhi lada nahi
Girr jayega voh khwaishon ka ghar mujhpe hi
Agar main aaj apne bistar se utha nahi-
Aaj uska naam lene ka nahi tha dil mera
phir bhi zikr uska hi hua..
Kabhi lage ke nafratien hai uss bala se
kabhi lage voh mera hi jahaa..-
Meri tarha kya tum bhi
khudko hi tarashte..
Voh guzre waqt ki
kya galtiya sudhaarte..
Mehfilo me apni
khushiya saari baatke..
Kya tum bhi raatein saari
tanha hi guzaarte..-
Aisa bhi nasha kis kaam ka jo aadat bann ke reh jaaye
Milte hi nahi voh log jo aankho'n se kabhi beh jaaye
Kitno ke bharose aaj
Dafat kiye hai khwaab
Khudse na kare agar pyaar toh tujhse kaun hi dil ye lagaye-
Thokar khana tumhari bhool ho sakti hai,
isse apna faisla na bann ne dena..-
फ़िर एक नौजवान आया उसके दर्द को अपना बनाने,
इस बार लड़की ने मुस्कुरा कर कहा कि पहले अपनी नियत सम्भाले।-
Na main mehlo se hu na kisi gali ka
Meri inn kahaniyo me sabka hai saleeqa..
Mumbai-Delhi kerke mujhko shehro me na baat na
Ye geet sun mere main saare Hindustan ka..-
Sukoon ke voh katre jab
junoon me sulagte ho
Iss chehre pe hassi dikhegi
Aankhein chahe gham me ho-
Mana ke tumhe tha Ishq nahi
par mujhko bhula na paonge..
Mene toh jala di tum lekin
tasveere jala na paonge..
Kya khoob likha kudrat ne mere
ye baat samajh na paonge..
Mehfil me meri aane ke liye
ek roz tadap hi jaonge..-